Mahawaray

Re: Mahawaray

Yaar Kirli error Shikra Bhai, mahawaray kahoo/likhoo, mahawaroo main chawaniyaaN athaniyaaN met nikaloo :hoonh:

Re: Mahawaray

aww :lb::lb:

waisay 1 mann main 40 Sayir, hotay, and u cant just convert weight in to volume :-p

Re: Mahawaray

Kia karoon dukhi bhai, ghareeb banda hoon, khud nahi likh sakta, issliye chawanniyan athanniyan nikaal raha hoon :bummer:

p.s. 100 choohey khaa kar dukhi hajj ko chala :naraz:

Re: Mahawaray

yep, I know, I read, and actually it was amazing really, he did a really good work ... isn't ?

Re: Mahawaray

:smiley: ye mahawaara pehlay kissi nai likh diya haiN khair
Budhi ghori laal lagaam

Re: Mahawaray

Sir jee, chaar ashaar kee poem bhee koi lambi choRi hoti hai.. lagtaa hai aap naY saadi decemberaa waali series naheeN vekhi :fraudia:

Re: Mahawaray

Dukhi puttar: Darya mein rahna aur magarmach sey beyr :nono:

Re: Mahawaray

Hum to woh haiN joo darya Chai samajh ker pi jatay haiN
*pata nahi mahawara haiN k main nay lambi chorh di

Re: Mahawaray

Kia piddi aur kia piddi ka shorba.

Dukhi: Lambi chord dee :smilestar:

Re: Mahawaray

GS ka choukibaar aur nikhray director jaisay:hoonh:
btw tumhay nahi keh raha lekin agar mehsoos keroo to tumhari marzi

Re: Mahawaray

abey yaar apni taraf sey muhawrey na banaao :grumpy:

Re: Mahawaray

Mahawaara wahi jo theek nishanay per lagay:D
*ye bhi mahawaara haiN

Re: Mahawaray

aaj takk nahi suna, haan albatta “teer” ka suna hai :hmmm:

Maan ka bhaydi lanka dhaye :dhimpak:

Re: Mahawaray

:omg: good one no offence but its funny :omg:

Re: Mahawaray

Khaya piya kuch nahi glass torha bara aanay

Re: Mahawaray

Haathi k daant, khaaney k aur, dikhane k aur
Bandar kia jaaney adrak ka sawad
Gadha kia jaaney zaafaan ki qadar

Re: Mahawaray

Aik teer main teen (3) shikaar

Re: Mahawaray

Baghal mein churee, mounh mein raam raam :smilestar:

Re: Mahawaray

Shikra jee, Ghar ka behdi Lanka dhaye.

Re: Mahawaray

issay kehtay haiN :
Nehlay per Dehla :D