Mahawaray

Agar kissi ko koi acha sa mahawara yaad haiN to betaoo
Ye aik meri terf sai :
Na sur Na Taal Phir bhi Qawaal :smiley:

Re: Mahawaray

Sir mudatay hi olay paray

Re: Mahawaray

to app nai sir kiyoo mundwaya :hoonh:

Re: Mahawaray

naach na janay aangan terha

Re: Mahawaray

Maan na maan main tayra mahmaan :)

Re: Mahawaray

baigani Shadi maiN Abdullah diwana

Re: Mahawaray

Galay para dhool bajana hi parta hai

Re: Mahawaray

:D

Re: Mahawaray

Bhains kud kay lay gayi kila (does this count as mahawra)

Re: Mahawaray

bandar kya jaane idrak (ginger) ka sawad :)
bhens k aage been bajana
tu kaun main kha makha :D

Re: Mahawaray

Ye to bhans sai hi puchna perhai ga

Re: Mahawaray

Ye mouh aur masoor ki daal *app channai ki daal bhi keh saktai haiN

Re: Mahawaray

Lo kar lo baat. Aqal badi ya bhains

Re: Mahawaray

no(9) so (100) choohe kha k bili hajj ko chali :hoonh:

Re: Mahawaray

^aap nay uskay baad dikaar liya kay nahin.

Re: Mahawaray

Oye maiN 20 kilo doodh pi ker bhi dakar na marroo
*pata nahi ye mahawara haiN ya kuch aur mai nai to bus essay hi choor diya

Re: Mahawaray

Thotha channa baajay ghana

Re: Mahawaray

Kiya howa, gayi bhains paani mein.

Re: Mahawaray

soch rahi hoon k aap phele le lo main phir loongi coz badoon ka haq pehle hota hai na :barbie:

Re: Mahawaray

Choohay becharay :(