Maazi.............

This one os for Fara and GS and is one of my all time favs

**apane maazii ke tasavvur se hiraasa huun main **
**apane guzare hue ayyam se nafarat hai mujhe **
**apanii bekaar tamannaon pe sharminda huun main **
**apanii besud ummiidon pe nidaamat hai mujhe **

**mere maazii ko andheray men dabaa rahane do **
**meraa maazii merii zillat ke sivaa kuchh bhii nahin **
**merii ummiidon kaa haasil merii kaavish kaa silaa **
**ek benaam aziiyat ke sivaa kuchh bhii nahiin **

**kitanii bekaar ummiidon kaa sahaaraa lekar **
**main ne aiwaan sajaaye they kisii kii Khaatir **
**kitanii berabt tamannaaon k maabham Khaake **
**apane Khwaabon main basaaye the kisii kii Khaatir **

**mujhase ab merii mohabbat ke fasaane na puuchho **
**mujhako kahane do ke main ne unhen chaahaa hii nahin **
**aur vo mast nigaahen jo mujhe bhuul gaiin **
**main ne un mast nigaahon ko saraahaa hii nahin **

**mujhako kahane do ki main aaj bhii jii sakataa huun **
**ishq naakaam sahii zindagii naakaam nahin **
**un ko apanaane kii Khvaahish unhen paane kii talab **
**shauq bekaar sahii sai Gam anjaam nahin **

**vahii gesuu vahii nazar vahii aarid vahii jism **
**main jo chaahuun to mujhe aur bhii mil sakate hain **
**vo kanval jin ko kabhii un kay liye khilanaa tha **
**un kii nazaron se bahut duur bhii khil sakate hain **

By Sahir L

Re: Maazi…

**Sahi hay…
****vo kanval jin ko kabhii un kay liye khilanaa tha **
**un kii nazaron se bahut duur bhii khil sakate hain

thanx for sharing Saroo…:blush:

insaan hein yahan mosam ki terhaN
bay-ant na chah inhein janaN

**

Re: Maazi…

???

Re: Maazi…

kia huwa saroo? is sher ki samagh ni aye kia? :confused:

Re: Maazi.............

Samajh aye but y did u say it ??

Re: Maazi…

why did i say it? coz loving someone is a painful thrill.. it is rather deceiving and drains all life from you…

so as a wise guppiee i was saying k dhang say jeena hay tu ishq ko life say delete kernay ka werna life buhat tang kernay ka…:stuck_out_tongue:

Re: Maazi.............

rusavai ke dar se ghabaraa kar
ham tark-e-vafaa kab karate hain
jis dil ko basaa lain pahalu main
us dil ko judaa kab karate hain
jo hashr huaa hai laakhon ka
apanaa bhii vahii anjaam sahii

ye husn teraa ye ishq meraa
rangiin to hai bad naam sahi
mujh par to kai ilzaam lage
tujh par bhii koi ilzaam sahii

Re: Maazi.............

**tera hijr mera naseeb hay...
tera gham he meri hayat hay..

mujhay teri doori ka der hu kyun
tu kahein bhee hu meray paas hay..

teray naam per meray wastay
koi herf aaye nahi nahi..

mujhay khof-e-duniya nahi magar
meray robaroo teri zaat hay.....
**

Re: Maazi.............

Exactly....................pur wo kehtay hain na

Jo aag lagayee thi tum nay us ko to bujhaya ashkoon say
Jo askoon nay bharkai hay us aag ko thandaa kon karay

Re: Maazi…

:flower1:Thanx Saroo:flower1:

Re: Maazi.............

tera hijr mera naseeb hay...
tera gham he meri hayat hay..

mujhay teri doori ka der hu kyun
tu kahein bhee hu meray paas hay..

khoob

Re: Maazi…

thanks ???
u r welcome anyway

Re: Maazi…

wah aaj ka din kaffi acha hay.. azad sahib bhee azad-e-rayee kay mafhoom say agahee hasil ker rahay hein :sunny:

Re: Maazi…

**lagan ju dil mein laggi hay wu arzi tu nahi
mujhay tu ab yeh khalish daymi si lagti hay
**

Re: Maazi…

Aji Azad babo ko kuch mut kaho ye to yahan k Malang baba hain

Re: Maazi…

yani na cheer malangaaaaaN nooo, ahoo

Re: Maazi…

Jazak Allah Khair

Re: Maazi…

mohabbat tark kii main ne gareban sii liyaa main ne
zamaane ab to Khush ho zahar ye bhii pii liyaa main ne

Re: Maazi…

Bilkul sahee

Re: Maazi.............

Bolnay dain Saroo Jee aaj waise bhi moyasar nahi meykhanay main.