Ma baap ki baatein

Thread title ripped from Facebook:

  • Kabhi time pe kaam kar liya karo. You point out they also never do it hum se muqabala kartay ho bewakoof?

  • Car insaanon wali speed pe chalao, jaldbaaziyaan na karo

  • Teaching them how to use a computer maza nahi aa raha, taiz hee bohat kartay ho kaam

Add your own!

Re: Ma baap ki baatein

-beTaa, ham tumhaare baap haiN, tum mere baap nahiiN!
-abhii merii baateN tumko burii lagtii hoNgii magar jab maiN na rahuuNgaa to merii baateN yaad karoge
-namaaz mere Khauf se na paRho bal k Allah kaa Hukm jaan kar paRho
-baRe bhai ko baap kii jagah samjho, kabhii unkii dil aazaarii na karnaa
-aHmaq kahiiN ke, kabhii zaraa 'aqlmandii kii baat bhii kar liyaa karo

:smiley:

Re: Ma baap ki baatein

Sarr durd kurraha hay? Kal itneh log ayeh thay ger, mayreh bache ko nazar lug gayee hay

Re: Ma baap ki baatein

That’s actually adorable.

“Roza meray liye nahi rakha, Allah kay liye rakha hai :emmy:

Re: Ma baap ki baatein

“sar main dard hai? aur sara din computer aur TV dekha karo” :emmy: :bailan:

Re: Ma baap ki baatein

“Sasural waalay kya samjhaingay…maa baap ne tameez nahin sikhai???” :vivo:

Re: Ma baap ki baatein

Jab shaadi hojaigi na, phir apnay miya ke saat dil bharkay ghoomna

Zamaana nahin badalta hai, log badaltatay hain

Taali do haat se bajti hai, ek say nahin

Yeh bartan koi naukar aa k uthaye ga?

Tamasha banaya howa hai.

Itni bari ho gai.. aqal nahi ayi.

Main koi machine hon?

:bummer:

Re: Ma baap ki baatein

‘‘yeh kyu nahi kiya?’’

when you point out they havent done it either: ‘‘hum se muqabalay karo ge?’’

Re: Ma baap ki baatein

For me it was hath halka:

paRosiyon ke haan shor hai?.. chup lagi huwi hai.. tum logon ki bolti band kab hogi? :naraz:

ik to ghar ka kaam satae, kapre dho’o, ghar ki safai karo.. ooper se sahib zade ek din bhi chawal khane ko tayyar nahin. :emmy:

For sisters:

Mujhe abhi jawan samjha huwa hai, taqat hai mujh main itna kaam karne ki? khud sara din TV dekhti rehti hain.

Ye laRkiyon wale tor tareeqe hain? dus baj rahe hain abhi tak so rahi hain?

Ik udhar bethi hai, ik udhar gappen laga rahi hai… aake khana utha lo..

Ik to main iss choti se aajiz hoon. kapRe tak utha ke machine main nahin daalti.

But on other side:

aulad kitni piyari hoti hai, jab tum logon ke bachen honge tab pata chale ga.

PS: It was all translation from Sindhi, so it lost most of the expressions in between.

Re: Ma baap ki baatein

“kal subha main ne 8 bajay utha kr na bethaya na phir dekhna khud ba khud raat ko neend aa jaye gi”

Re: Ma baap ki baatein

8 bajay was too late in my home even on Sunday. I had to wake up at Fajr time and then after ibadaat I was expected to study for school to get ready for the lessons to be taught that .
day.
On Sunday we were free to enjoy the morning.

Re: Ma baap ki baatein

:rotfl:If I am stupid then why do you expect me to " 'aqlmandii kii baat"

Classic

Re: Ma baap ki baatein

haN na…isii baat pe to ham sab ko haNsii aatii thii! :smiley:

kabhii kabhaar vaalid marHoom mujhe “ulloo kaa paTThaa” bhii kah dete the :hehe:

Re: Ma baap ki baatein

Jab tum maa banaogi na, phir pata chalega :vivo:

Re: Ma baap ki baatein

“aglay ghar ja kay susraliyon kay jootay khao gi” #stinkeye](http://www.paklinks.com/gs/usertag.php?do=list&action=hash&hash=stinkeye)

:hinna:

Re: Ma baap ki baatein

Ayyaashi kay liyay har waqt tayyar, aur ghar ka kaam kartay huay maut paRti hai. :smilestar:

Re: Ma baap ki baatein

DanDaa peer vigRayaan tigRayaan da.:asa:

Re: Ma baap ki baatein

:hinna:

Mrs Falana ki beti nay to makeup ka course, baking ka course, silai karhai ka course kiya hua hai"* ni nigori kakh vi kam di nai kuj aanda nai tainu teray naal koi hun vaiyah nai karan ala sari umar hun meray sir tay baithi rawain gi* :bailan: :emmy: