Love / Hate relationship with Arabs?

Re: Love / Hate relationship with Arabs?

zaraa ThanDe dil se sochiye, agar vo hamko apne mulk meN bulaa kar jobs na dete to hamaare mulkoN meN kitne gharoN meN aaj choolhe na jalte…magar unkii vajah se aaj unhiiN gharoN meN KhushiyoN kii kilkaariyaaN sunaaii detii haiN…unke ghar aalishaan nazar aate haiN…kam az kam Indian Muslims kii to maali Haalat aaj vo na hotii jo hai.

vo hameN miskeen kahte haiN…yeh unkii ziyaadtii hai aur jihaalat hai…unkaa ravaiya Kharaab hai magar zaraa sochiye k kia ham ne aisaa kuchh bhii nahiiN kiyaa jiskii vajah se unkaa ravaiya hamaare tayiiN Kharaab huaa? taali ek haath se nahiiN bajtii…is meN hamaaraa bhii dosh hai.

bhale ham unheN laakh buraa kaheN magar sach yeh hai k unke baGhair ham log tabaahii kii taraf tezii se chale jaayeNge. Allah aise hii sab ke gharoN kaa choolha jalaataa rahe…aameen