Ok this question is mainly for married ladies who have gone through this scenario...
Suppose your parents are living alone after all their children have either gotten married or left the country or just moved out. And they feel very lonely and not-needed. What would you do to make them feel better? I mean not on a short period of time like a few hours but generally. Keeping in mind that you are married and have responsibilities of your own and all that. What if you are out of the country and know that your parents are alone and not in a very healthy state.
Well actually the question goes for men too. So put in ur two cents.
My mashwara for that lady is keep calling your parents every second of the day that would sure make them feel happy.
Agar aap ka husband aap ko phone karnay ki ijazat ya paisa naheen day to aap koi halki phulki part time job kar lain ya aisi job jo ghar main baithay biathy ho yani child minding waghaira. Takay aapkay apnay ghar main jhagra fasad na ho.
Agar aap ka phone karna bhi aap kay hubby ko bura lugta ho to fasad say buchnay kay liaay aisay waqt main karain jub wo ghar main na ho.
Is kay ilawa waqtun fawaqtun paisay bhi bhaijtay rahain aur agar ho saktay aik mulazma rakh dain jis ki tunkhuwah aap dain.
Apnay aisay rishtaydaron ya doston say guzarish karain kay wo waqtun fawaqtun daikh lia karain aur khairiat pooch lia karain. Un ko bhi kuch tohfay tahaif day dia karain takay wo khial rakh lia karain.
Mulazama kay liaay aisi aurat ka intekhaab karain jo bewa ho aur jisko koi poochnay wala na ho ya akeli ho aur adhair umr ho takay wo aap kay parents kay saath hi reh lay. Yani uska bhi kaam ho jaay aur aap ka bhi.
Is kay ilawa dua karain Allah say aur Allah pay poora iman o Aitaqad rakhain kay jub koi na ho to Allah hi karnay wala hota hai her haaal main. Jub koi ho to bhi Allah hi taufiq deta hai kuch karnay ki.
Meri bhi dua hai Allah sub kay parents ko Mushkilon say door rakhay aur auladon ko her tarha say unka khiaal rakhnay ki taufiq day.