Lipton ki Chae, Peak Freans ke Biscuits

Re: Lipton ki Chae, Peak Freans ke Biscuits

yeh planning thoRe hii arsa rahii is liye uskaa asar kaise nazar aataa…ab to 'FREE for ALL" hai…jitni marzii chaaho aulaadeN paidaa karo! :smiley: is par koii tax nahiiN. :smiley:

Hindu majority kaa Dar hai k musalmaan bachche bahot paidaa karte haiN is liye koii waqt aisaa hogaa k musalmaanoN kii ta’daad HinduoN se baRh jaayegii…is baat meN kuchh Haqeeqat bhii hai…HinduoN ke bachche kam hote haiN aam taur se jab k musalmaanoN meN bahot saare hote haiN…middle class paRhe likhe log is ruling meN nahiiN aate…aajkal 2-3 bachche hii norm hai bas.