light a candle in memory of victims or Ruju' ilal-Allah ?

Re: light a candle in memory of victims or Ruju’ ilal-Allah ?

mainy yahan khi main jo tareeqa daikha main woh app ko batatee hoon

sub log ik jagah per kharay hain or sub nay apne apne candel light ik jagah rakhee hain ..or sub ki yeh koshish hay woh bujhay nahi ..bakee sath sath hansee mazak bolna jaree tha ,… ik jagah road per chand teen ager ka group candels samnay rakh ker naaray laga rahe thay

app mujhay sirf yeh samjhain k UNITY dikhanay k ley ik jagah sub jamma hon yeh to samjh aagya …naaray laga lain woh bhi theek hay ,banners pakar lain ..long march ker lain ..media is ki coverage ker lay to yeh sub to tub bhi hasil ho gaya tha

yeh khas tareeqa k is sub k sath candel jaalain to yeh ik cheez kuffaar say mushabyhat hay …app sirf is cheez ko hata dain…? sirf is neyat say k hamaray Nabi nay bhi mushabayhat pasand nahi ki…

app ka jama hona ap kay banners dosree communites nahi samjh saktee hain ?

baqee raha afsos ka khaas izhaar to us k ley app apay muslman behan bhaioon k ley dua he kejeye kion k hamara or mutaasira khandan ka ise per iman hay k Duaao say sabar ata hay or sabar dukh kam kerta hay ..or yaqeenan app ka is waqt un families k ley yeh ammal kaafe hai

or agar app ko yeh lagta hay k jahan app log rehtay hain wahan vigil candel light k ilawa koi tareeqa app ka maqasid k husool ka zariya nahi ban sakta ro phir app apnay mulk k scholers ki raaye zaroor lay lain ..k behrhal app is practice ko ik acha kam samjh ker hee kerain gee..