Re: let’s translate SIGNS in Urdu, English or Hindi
**welcome ![]()
vaise yeh mushklil nahiiN hai…ham sab roz in alfaaz ko iste’rmaal karte haiN magar inhiiN alfaaz ke dusrii sooratoN ko ham pahchaan nahiiN paate…yeh sikhnaa hai bas…jaise:
inqisaam lafz banaa hai taqseem se…ham sab jaante haiN k taqseen ka matlab hotaa hai distribution. isii taraH, iHtiyaaj lafz banaa hai Haajat se aur ham is lafz ko ab-Khoobii jaante haiN. Kahir maqdam bhi ham roz marrah kii zabaan meN bolte haiN…Khair maqdam aur Khush aamded men bahooot halkaa saa farq hai…is text meN Khair maqdam ziyaada munaasib aur mauzooN hai. taqarrurii bhii ham jaante haiN…aksar log kahte haiN k unkii taqarrurii as a teacher ho gaii hai…etc.
hai an aasaan? el lafz se unkii disrii haiyat ke alfaaz banaane kii tarkeeb agar log interested hoN to maiN us par ek tutorial de saktaa huN. :)**