Re: Lafzi Bait Bazi
**Aaina* Kyun Na Doon Keh Tamashaa Kahain Jisay*
Aisa Kahaa'n Say Laa'on Keh Tujh Sa Kahain Jisay
Sar Par Hujoom-e-Dard-e-Ghareebi Say Daliyay
Woh Aik Musht-e-Khaak Keh Sehraa Kain Jisay *
*
Re: Lafzi Bait Bazi
**Aaina* Kyun Na Doon Keh Tamashaa Kahain Jisay*
Aisa Kahaa'n Say Laa'on Keh Tujh Sa Kahain Jisay
Sar Par Hujoom-e-Dard-e-Ghareebi Say Daliyay
Woh Aik Musht-e-Khaak Keh Sehraa Kain Jisay *
*
Re: Lafzi Bait Bazi
Hume maloom hai k hawa ka mizaaj rakhte ho
Magar ye kia,k zara der ko ruke bhi nahi !
Re: Lafzi Bait Bazi
Zameen Se Kaun Uthaata Hai Khushk Pat'ton Ko
Hawa **Ki Baat Na Karna **Hawa To Pagal Hai
Re: Lafzi Bait Bazi
Re: Lafzi Bait Bazi
Kashti-e-jaan to bhanwar main hai kai bersoon say
Aye Khuda ab to dobo day yea kinara la day
Re: Lafzi Bait Bazi
tu nahi to zindagi men aur kia reh jae ga
door tak tanhaiyon ka silsila reh jae ga
yun b ho ga wo muje dil se bhula de ga magar
ye b ho ga khud usi men ik khalaa reh jae ga
Re: Lafzi Bait Bazi
Jab Ghar Se Uth Khare Hue To Phir Poochna Hi Kia
Manzil Kahan Se Paas Pare Gi Kahan Se *Door *
Re: Lafzi Bait Bazi
kuch din to baso meri aankhon men
phir khawab agar ho jao to kia
kuch rang to do mere chehre ko
phir zakhm agar mehkao to kia
Re: Lafzi Bait Bazi
tasawwur men chaly aao,magar kuch terna seekhu..
tum aksar doob jaty hu aakhoon k darya men.............!
Re: Lafzi Bait Bazi
ye kyun hamesha meri talab hi tumhe sada de
kabhi to khud b sapurdagi ki thakan men aao
Re: Lafzi Bait Bazi
ye kyun hamesha meri talab hi tumhe sada de kabhi to khud b sapurdagi ki thakan men aao
**Khud* Dil Main Reh Kay Aankh Say Pardaa Karay Koi*
Haan Lutf Jab Hay Paa Kay 'Dhoondaa Karay koi
Tumnay Tou Hukm-e-tark-e-Tamanna Suna Diya *
*Kis Dil Say Aah Tark-e-tammanna Karay Koi *
*
Re: Lafzi Bait Bazi
koi malaal koi arzoo nahi karta
tumhare baad ye dil guftagu nahi karta
koi na koi meri cheez toot jato hai
jab bhi tumhari yaad se wazoo nahi karta
Re: Lafzi Bait Bazi
Hope to see new ideas, as similar to this thread title in poetry forum ...