Lafzi Bait Bazi

Re: Lafzi Bait Bazi


teray zehan pay havee ho meri soch is tarha
kay tu apni zindagi ka nisaab hool jayee

Re: Lafzi Bait Bazi

Kon Kehta Hai Tujy Bhool Gaya hai dil..
Yaad tairi ko tu emaan bana rakha hai

Re: Lafzi Bait Bazi

ashq ankhoo main meri dekh kar rotay kyu ho dil bhar ata hai to phir dil dukhatay kyu ho :halo:

Re: Lafzi Bait Bazi

aa gayaa us kaa tasavvur to pukaaraa ye shauq
dil mein jam jaaye ilaahii ye Khayaal achchhaa hai

Re: Lafzi Bait Bazi


mujhay kal sham say woh bhohat yaad anay laga
dil nay mudat say jo ek shaks bhula rakha hai

Re: Lafzi Bait Bazi

aaNkhoN meiN bAs ke dil meiN sama kar chale gaey
khwabeeda zindagi thi, jaga kar chale gaey

Re: Lafzi Bait Bazi


dil ka har gosha munawar hai haseen yadoo'n say
meri sansoo'n mai abhi tak hai tumhari khushboo

Re: Lafzi Bait Bazi

Aaina toot bhi jaye toh koi baat nahin....
DiL na tootte kisi ka, yeh bikta nahin bazaroon main

Re: Lafzi Bait Bazi


meray dil ko shako-e-fighaan nahi meray lab tak ati dua nahi
woh dehan ho jis mai zubaan nahi woh jiras hun js mai sadah nahi

Re: Lafzi Bait Bazi

Dil ki basti mein ik makaan hai abhi.
jiske aangan mein kuchh dhuan hai abhi

Re: Lafzi Bait Bazi


meri chahtain meri qurba'atain usay yaad aye''n qadam qadam
to woh sub say chup kay libaas-e-shab mai lipt kay a'Ah-o-baqa karay

Re: Lafzi Bait Bazi

**karam karo ya sitam karo hum gila nahi kartay** **khizaan mien phool yaqeenan khila nahi kartay** **mila do hamen khaak mien magar yeh yaad rakhna** **hum jaisay log dobara mila nahi kartay**

Re: Lafzi Bait Bazi

Koi Haath Bhi Na Mila'ay Ga Jo Galay Milo Ge Tapaak Se
Ye Naye Mizaaj Ka Sheher Hai Yahan Faas'lon Se Mila Karo

Re: Lafzi Bait Bazi

Main Us Ka Ho Nahi Sakta Bata Na Dena Usse
Lakirain Haath Ki Apne Wo Sab Jala Lega

Re: Lafzi Bait Bazi

**Main **Uss Se Jhoot Bhi Boloon Tou Mujh Se Sach Bolay
Meray Mizaaj Ke Sab Mausamon Ka Saathi Ho

Re: Lafzi Bait Bazi

Tere Wade Pe Jiye To Yeh Jan Ki Jhoot Jana
Khushi Se Mar Na Jate Gar Aitbar Hota

Re: Lafzi Bait Bazi

Ye Na Thi Hamari Qismat Ke Wisaal-e-Yaar Hota
Ager Aur Jeetay Rehtay Yehi Intezaar Hota

Re: Lafzi Bait Bazi

Aane Ko Keh Gaye The Na Aayen Khuda Kare
Kya Lutf Aa Raha Hai Mujhe Intezaar Mein

Re: Lafzi Bait Bazi

Uss Waqt Intezaar Ka Aalam Na Poochay
Jab Koi Baar Baar Kahay, 'Aa Raha Hoon Main'

Re: Lafzi Bait Bazi

^ ohooo.. zabardast.. luv ya doost!

Un Ka Zikar, Un Ki Tamanna, Un Ki Yaad
Waqt Kitna Qeemati Hai Aaj Kal