Lafzi Bait Bazi

Re: Lafzi Bait Bazi

*Ham Khushboo ke Sodagar hain, Aur Soda Sacha Kartey Hain* *jo Gaahak Phooloo'n Jaisa ho Ham Bin Daamoo'n Bik Jaatey hain*

Re: Lafzi Bait Bazi

Aks-e-Khushboo Hoon Bikhernay Se Na Rokay Koi
Aur Bikher Jaon To Mujh Ko Na Samaitay Koi

Re: Lafzi Bait Bazi

woh to khushbo hai hawaon main bikhar jayaga
masla phool ka hai phool kahan jayega

Re: Lafzi Bait Bazi

Kahan Aakay Ruknay Thay Rastay Kahan Mor Tha Isay Bhool Ja
WO Jo Mil Gaya Usay Yaad Rakh Jo Nahi Mila Usay Bhool Ja

Re: Lafzi Bait Bazi

Jalnay Lagee Lahoo Main Judai Tou Ro Di'ay
Tanhai'yoo'n Nay Khaak Urra'ee Tou Ro Di'ay
Chahray Nay Tayra Rog Chupaya Tou Hans Di'ay
Aankhoon Nay Tayree **'YaaD' **Mana'ee Tou Ro Di'ay

Re: Lafzi Bait Bazi

Yaadon Sey Rishta Kal Bhi Tha, Yaadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai
Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha, Dil Afsurdaa Sa Aaj Bhi Hai
Tum Door Huvey Majboori Mein, Hum Toot Gaye Is Doori Mein
Kabhi Waqt Miley Tu Lout Aana, Ye Dil Ka Dar Vaa Aaj Bhi Hai

Re: Lafzi Bait Bazi

**Toot **Jatay Hain Sab Alfaaz-o-Ma'anay Ke Talism
Bay'Zubani Main Ajab Quwat-e-Goyaa'ee Hai

Re: Lafzi Bait Bazi

Ajab dil kii bastii ajab dil kii vaadii
har ek mo.D mausam na_ii Khvaahisho.n kaa
lagaaye hai.n ham ne bhii sapano.n ke paudhe
magar kyaa bharosaa yahaa.N baarisho.n kaa

Re: Lafzi Bait Bazi


baa'rishooN k udaas moausam maiN
khud ko dekhooN tu yaad aa'ey koi
kaash ik baar yuuN b ho jaa'ey
maiN bulaa'ooN tu loat aa'ey koi :(

Re: Lafzi Bait Bazi

:(

safar-e-manzil-e-shab yaad nahii.n
log ruKhsat huye kab yaad nahii.n
dil me.n har vaqt chubhan rahatii thii
thii mujhe kis kii talab yaad nahii.n

Re: Lafzi Bait Bazi

**laut jaa'ti hai maseeha ki nazaR *sahil *se** **mujh meiN doobey to merey dard ka andaza karey**

Re: Lafzi Bait Bazi


kantoo'n ki chuban paye phoo'n ka maza bhi
dil dard kay mousam mai roya bhi hasa bhi

Re: Lafzi Bait Bazi


*jo us ke chehray pe rang-e-hina thehar jaa;ey
to saans waqt samandaR hawa thehar jaa'ey
wo muskaraey to hans hans paren kai **mosam
**wo gungunay to bad-e-saba thehaR jaa'ey
*

Re: Lafzi Bait Bazi


isi fareb-e-nazar nay meray janoo'n ko pagal kya huwa hai
meray samandar bhi tishna lub hain teray khila mai sahaab kyu hai

Re: Lafzi Bait Bazi

wo kah raha tha samandar nahin hain ankhain hain
mein un mein doob gaya Aitbaar kartay hoay

Re: Lafzi Bait Bazi

wo baat saare fasaane me.n jisakaa zikr na thaa
wo baat unako bahot naa-gavaar guzarii hai
chaman me.n Gaarat-e-gulachii.N se jaane kyaa guzarii
qafas se aaj sabaa beqaraar guzarii hai

Re: Lafzi Bait Bazi

:D sonia , mayri turha aap ko bhi dair ho gai, MOD bazi lay gai hain :p

Re: Lafzi Bait Bazi

its never tooo late BB bhai

Re: Lafzi Bait Bazi

haan ye forum mods ka hi to hai to unho nay hi bazi leni hai
baqi sub ko to hmmm kuch nahi ...

Re: Lafzi Bait Bazi

:aq: