Lafzi Bait Bazi

Re: Lafzi Bait Bazi

Ho jaate bahem do dil mil ker, ye baat gawara thi kisko
Mana woh khafa the kuch hamse, kuch aur lagayee logo'n ne

Re: Lafzi Bait Bazi

Jo dil tha bay-sakoo'n mera , ajab jo bekararee thee
Kaheen tota tha kuch dil main, kahani bas ye sari the

Re: Lafzi Bait Bazi

Jinhain maanta hi nahin yeh dil wohi log hain meray hum safar
Mujhe her tarah say jo raas thay wohi log hum say bichar gaye

Re: Lafzi Bait Bazi


Mat Poocho Haal Hum Se Dil-e-Beqaraar Ka,
Hum To Woh hain Jo Khud Se Bhi Gham Apna Kehte Nahi

Re: Lafzi Bait Bazi

Socha ho ga us nay din main kaie baar mujhay
Naam hatheli par BHI likh likh kay mitaaya hoga

Re: Lafzi Bait Bazi


Usay main dhekta rehta hoon yaadon kay chanaron say
Nigahon ki tapish say woh kabhi shola nahin hota

Re: Lafzi Bait Bazi

Suno zikr hai kai saal kaa, koi vaadaa mujh se thaa aap kaa
Vo nibaahane ka to zikr kya, tumhain yaad ho KAY na yaad ho

Re: Lafzi Bait Bazi


Phir yaad bahut aayegii zulfo'n kii ghanii shaam
Jab dhuup me.n saayaa koi sar par na milegaa

Re: Lafzi Bait Bazi

main **dhoop** **dhoop** musafat mein jiss k saath rahii zara sii chhaaon mein uss ney bhula diya mujhe

Re: Lafzi Bait Bazi


dhuup hai kyaa auR saayaa kyaa hai ab maaluum huaa
ye sab khel tamaashaa kyaa hai ab maaluum huaa

Re: Lafzi Bait Bazi

Ye Aur Baat Ke Tum Se Gila Nahi Kertay
Malaal Kion Nahi Hota Malaal Hota Hai

Re: Lafzi Bait Bazi

Apnaay akaylay pan ka main kis say Gilaa karoon
Jis ko bhe Mur kay dekha woh tanhaeeo'n main hai

Re: Lafzi Bait Bazi

Shikwa Gila Apni Jaga
Harf-e-Duaa Apni Jaga

Re: Lafzi Bait Bazi

baby shair :hehe:

Re: Lafzi Bait Bazi

mera sher hai :(

Re: Lafzi Bait Bazi

mujhay pta tha baby shiar matlab cute shair :snooty:

Re: Lafzi Bait Bazi

aww.. thnx for cuteness title :)

cute to hona he tha na mera jo hai :)

Re: Lafzi Bait Bazi

Hum apna haal kia likhaiN, wohi andoh-e-mousam hai
Wohi hum haiN jahaaN taza hawa ab tk nahiN aai
Qaba rangeen ker li, pathrooN ko chun liya hum nay
Mager lab per hamaray bad-duaa ab tk nahiN aai

Re: Lafzi Bait Bazi

jo us ke chehray pe rang-e-hina thehaR jaa'ey
to saans waqt samandaR hawa thehar jaa'ey
wo muskara'ey to hans hans paRieN ka'ee moasam
wo gungunay to bad-e-saba thehaR jaa'ey

Re: Lafzi Bait Bazi

Yaas kay barrey samandar meiN ik aas ki kashtii chohti si
ToofaaN k i taqat andha dhun or meri hasti chohti si
Badal kay bipheray toloN ko koi kaisay ja ke samjha'aey
Is baarish mein kahiN beh na ja'aey meri basti chohti si