Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

Re: Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

http://www.friendskorner.com/forum/photopost/data/500/Aankhen_PG.jpg

KAGHAZ

Re: Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

:hinna:
Geeley kaghaz ki tarhaan hai zindagi apni
Koi likhta bhi nahi koi jalata bhi nahi

Is qadar akele ho gai hain aaj kal
Koi satata bhi nahi or koi manata bhi nahi

Manata/Manana

Re: Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

http://i.imgur.com/fAKVPMv.jpg

aadat

Re: Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

Nyc

**Aadat hi bana li hai tum ne to “Munir” apni
Jis shehar mein bhi rehna uktaye hoe rehna

Uktana / Uktaye**

Re: Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

wo mere ziker per uktana mujse se katra k guzer jana
esa lagta hy jese vo mujh se doori ka samaan kerta hy

next word : ziker

Re: Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

Zikr-E-Shab-E-Firaq Se Wahashat Use Bhi Thi
Meri Tarah Kisi Se Muhabbat Use Bhi Thi

firaq

Re: Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

ham log ab to paraaye se hai.n kuchh to bataao haal-e-"Firaq"
ab to tumhii.n ko pyaar kare hai.n ab to tumhii.n se bole hai.n

payara

Re: Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

wo chaandnii ka badan Khushbuon ka saaya hai
bahot aziz hamein hai magar paraayaa hai

chandnii

Re: Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

aab chandani main kis ko dhoondnay aati hay khushbu
kah sahiloon kay phollon ko ro gaiay hain Darya

Darya

Re: Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

Na aag ka dariya par hua na pani pe chal saki
**Yeh kiss majdhar par le aayi hai zindagani

Zindagani**

Re: Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

wo masum chahat ke tasvir apni
wo khwabon khilaunon ke jagir apni
na duniya ka gham tha na rishton ke bandhan
badi khubasurat thi wo zindagani

bandhan

Re: Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

Lagta Hai Toot Gaye Ehsaas Kay Bandhan Sare Faraz
**Aaj Tarpa Hai Wo Dil, Jo Kabhi Dharka Hi Na Tha

Tarpa**

Re: Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

Akaila raat bhar tarpa mareez e shaam e gham saqi
Na tum aaye na neend aai na chain aaya na moat aai…

SAQI

Re: Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

maikada

Re: Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

https://encrypted-tbn1.gstatic.com/images?q=tbn:ANd9GcRWaSX2vXWdyBgt8l-MR3TYxY_S1F3IEr0gf6AK9eND9Lo1jgcA

gardish

Re: Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

Har Waqt Gardish May Raha Apna Sitara
Jisay Bhi Apna Samjho Nikalta Hay Baigana

baigana

Re: Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

*Gham Say Baigana Bana Deti Haiy Chahat uskee *
**Main Bhala Kaisay Bhula Doon Yeh Inaayat uskee

Inayat**

Re: Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

muntazir thy teri enayat ke :sid:
kuch to kia kia chalo tabah hi sahi

tabah

Re: Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

*har ek jalvaa-e-rangiin merii nigaah mein hai *
**Gam-e-firaaq kii duniyaa dil-e-tabaah mein hai

Rangeen**

Re: Lafz Ba Lafz Poetry -MAy

Na wo soch, na jhijhak, na sharam,
na jaane ka gham, na aane ka waham,
na waise rangeen sapnon ka bharam,
tab wo koi aur tha, nahin mera sanam..

Wahm