Lafz ba Lafz- Poetry game

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Mairay dil-o-dimaagh pe humdum kuch aisey hai tera basera
ik shakhs hou tum sab ke waastey, merey liye saaraa jahaan hou

basera

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Eid k chaand kahin or ujaaly ly ja
Mera weeran baseraa hi mujhe acha hai..

chaand

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

chand nikale kisi janib teri zebai ka
rang badle kisi surat shab-e-tanhai ka

Soorat

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

teri soorat sa kisi ki naheen milti soorat
hum jahan main ter tasveer lia phrtay hain

tasveer

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Wujood-e-Zan Se Hai Tasveer-e-Kainat Mein Rang
Issi Ke Saaz Se Hai Zindagi Ka Souz-e-Darun

Saaz

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Khayalon main faqat ek sholah e awaaz baki hay
Na koi geet baki hay na koi saaz baki hai

sholah

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

shola hun bharakne ki guzarish nahi karta
sach munh se nikal jata hai koshish nahi karta

koshish

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Ek Wafa Ko Paanay Ki Koshish Main

Zakhmi Hoti Hain Wafayain Kitni

zakhmi

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

haath kaanton say kalye zakhmee
phool, baalon men ik sajanay ko

baalon

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

kis ney bheegey huey baalon sey ye jhatkaa paani
jhoom key aayi ghataa, toot key barsaa paani

ghataa

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

*tirii zulfoN kaa kuchh is andaaz se ruKhsaar par girnaa
*
*ghaTaa***** ghanghor aayii, roo e 'aalam par saHaab aayaa

****meraa hii ek she'r

*saHaab*

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

sahaab thaa key sitaara, gurez paa hi lagaa
woh apni zaat key har rang mein hawaa hi lagaa

sitaara

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

gulaab hath main ho aankh main sitara ho
koi wajood muhabbat ka ista'aara ho

wajood

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

kuch nafratoun ki nazar hua mera yeh wajood
baaqi jo bach gayaa thaa mohabbat mein mar gayaa

baaqi

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Tere paimane mein gardish nahi baqi,saqi
Aur teri bazm se ab koi utha chahta hai

Gardish

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

**Naseeb gardish me tha,
Jo hum fakeer ho kar amiron
kay shehar me basne chale aaye

fakeer**

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

****Kaha tha kisne tujhe aabru gaNwaane jaa
‘Faraz’ aur use haal E dil sunaane jaa

Kal ek faqeer ne kis saadgi se mujhse kaha
Tere JabeeN ko bhi tarsaiNge aastaane jaa**

aastana
**

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Ghaafil Naa Hou Khudi Sey, Kar Apni Paasbaani
Shayad Kisi Haram Kaa Tu bhi Hai Aastana

ghaafil

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Pehle hi apne app se **ghafil ****thay hum magar,
Uss chashme parfasoon ka asar aur ho gai

Chashme**

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

meri chashm-e-tan aasaan ko baseerat mil gyi jab se...
bohat jaani huee soorat bhi pehchaani nahiin jaati.

Baseerat