Lafz ba Lafz- Poetry game

:salam:

Rules to yaad ho hi gai honge… nahin… to lejiye phir se padh len

ab silsila wahin se shroo karte hain ahan se toota tha:

manzar ke ird-gird bhii aur aar paar dhund
aa’ii kahaaN se aaNkh meN ye be-shumaar dhund

:cb: UK ka foggy mosam
**
Dhund se shair**

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

har taraf dhund hai, jugnoo hai naa chiraagh koi,
kaun pehchaaney gaa, basti mein agar jaun gaa

jugnoo

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

jugnu ko din ki roshni main parakhnay ki zid karain
bachay hamaray ehad kay chaalaak ho gaye

chalaak

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Koi ta'weez aisa doh kay mein chalaak hO jaa'un**
Bohot nuqsaan deti hai mujhey yeh saadgi meri

saadagi **

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Iss Saadgi Pey kaun Naa Mar Jaaye Ae Asad
Lartey hain Aur haath Mein Talwaar Bhi Nahin

talwaar

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Khanjar sey karo bat na talwar sey pocho,
Main qatl howa kesey merey yaar sey poocho

yaar

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

**yaar ko main ne mujhe yaar ne sone na diyaa
raat bhar taalaa-e-bedaar ne sone na diyaa

Bedaar
**

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Uqaabi Rooh jab bedaar hoti hai jawanon main.
nazar aati hai uss ko apni manzil aasmaano main

Rooh

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

**nagmaa wahii hai nagmaa ki jis ko
rooh sune aur rooh sunaaye
husn wahii hai husn jo zaalim
haath lagaaye haath na aaye

Sunaaye**

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

khamoshi ka hasil bhi ik lambi si khamoshi hai
un ki bat suni bhi hamane apni bat sunai bhi

Hasil

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

**Aisi dewaangi say kya hasil
Quwat e fikar jis me ghat jaey
Zindgi alam me att jaey
Admi zindgi say cut jaey

Quwat
**

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Jo hai Shabbir ki Quwat ' Ali ko naaz hai jispar.!
Jishe Zehra kahe beta ' use Abbas kaihte hai.!

naaz

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

usey kehna qismat pey itnaa naaz bhi naa kiya karey
mein nai baarish mein bhi jaltey huey ghar daikhey hein

ghar

Apni gali mein apna hi ghar dhoondte hain log,
Amjad Ye kon shehar ka naqsha badal gaya

Naqsha

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Tum nay Daikha he nahi Naqsha meri Tanhai ka..
Aik Qayamat hai jo her Shab Guzar jati hai

Shab

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

kal choudhween ki raat thi, shab bhar raha charchaa teraa
kuch ney kahaa yeh channd hai kuch ney kahaa chehra tera

charchaa

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Apni ruswai aur tere naam ka charcha dekhon.
Ek zara Shair kahon aur mein kia kia dekhon

Shair

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

**apni ruswai tere naam ka charcha dekhun
ek zara shair kahun aur main kya kya dekhun

Charcha **

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Kuch na Kehny ka bhi Charcha hi hua,
Gham Taaluq ka Tamasha hi hua,

Har Talab Zilat_E_Khuddari thi,
Tum na thy Sath! Ye Acha hi hua,

Talab

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

**Har Taraf Raah Main Thay Kaanty Bichay Huay
Mujh Ko Teri Talab Thi, Guzarte Chale Gaye

Guzartey**