Lafz ba Lafz- Poetry game

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Raah Mushkil Hy Magar
Dil Ko Amada Tou Kro
**
Saath Chalne Ka Mere
Tum Irada Tou Kro

Amada**

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Ranjishen Itni Mili Hen Qurbaton K Darmiyan MOHSIn

Dil Bhi Aamada Hy Ab Kuch Kuch Judai K Liye...!

Qurbaten

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

**ek zaraa haath baRhaa de to pakaa Daale daaman
uske siine meN samaa jaaye hamaarii dhaRkan
itnii qurbat hai to phir faasla itnaa kyuN hai?

Kaifi Azmi

faasla**

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

ye mashghala hai kisi ka na jane kiya chahe
na faaslon ko mitae na faisla chahe

Mashghala

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

**nasheman ho na ho ye to falak kaa mashGhala Thahraa
k do tinke jahaaN par dekhnaa, bijlii giraa denaa

Qamar Jalaalwii

tinke**

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

DoobTe Ko Tinkay Ka Sahara Chahye
Shadi K Liay Behnon Ka Ek Ishara Chahye

shadi

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Laila ki shadi main lafRa hogaya
itna naacha Faraz ke langRa hogaya

naacha

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

:cb: :rotfl:

1 Malang Englnd gya to uska dost usy night club le gya

ni8 club ja k khob nacha or nachty nachty bola

O Mainu a Ty Daso

“ay URSS”
Kery BABA G Da ay .. … * * * ***

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Aaye bahaar ke kadam,jaaga hai baag ka naseeb
Sunake ghata ka shor,jungal mein naacha mor

jungle

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Hum jungle k jogi hum ko ek jagah aaram kahan
aaj yahan kal aur nagar mein subha kahan aur sham kahan

Jogi

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

next word is** matwala**


Restored attachments:

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

.

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

kya jawab don?

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

:rotfl:

likhti hun wait karen :cb:

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

o roop nager k sodager,o rang rangele jadugar:wub:
aa apn arang jamata jaa,jadu ka khel dikha ta ja

me puja tu gar MATWALA dekho mera khel nirala
choro esa teer nazar ka ,toron tere dil ka taala

TAALA

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

wo jinse khulta hai hamari khushiyon ka talla
chabi phenk aae unki tere raaston main

phenk

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

ghairat-e-mouj ussey phenk gayi sahil par
doobney waale ney jab shor machaanaa chahaa

sahil

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

jaise sahil se chhuRa leti hain mojen daaman
kitna sada hai tera mujh se gurezan hona

Gurezan/ gurez

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

mein gurez kiya karta uss key saath chalney sey
zakhm tou nahin bhartaa rastey badalney sey

saath

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

**Main tumse juda to nahin hoon mere humdum
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum

Humdum**