Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

**wuh Shakhs khizaan rut mein b mohtat hai kitna
sookhay huwey patton ko bikharne nahi detaa

mohtat
**

Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

Zamana dost ho jaye to tum mohtat ho jana
Kisi k rang badalnay main zara si deer lagti hay
rang

Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

**Aankhon ka rang baat ka lehja badal geya
wuh shkhs aik shaam mein kitna badal geya

shaam**

Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

Yun To Har Shaam Umeedo Main Guzar Jati Hai
Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Py Rona Aya

Umeed

Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

**chhin gaii aakhirii umeed bhii dil se "Ashaar"
ye sahaaraa hai ki ab koii sahaaraa na rahaa

Sahaara**

Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

har chand sahara hai tere pyar ka dil ko
rehta hai magar ik ajab khauf sa dil ko

Khauf

Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

**voh buton ney daale hain vasvase ki dilon se Khauf-e-Khudaa gayaa
voh parii hain roz qayaamaten ki Khayaal-e-roz-e-jazaa gayaa

buton**

Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

Buton say tujh ko umeedain, Khuda say no meedi.
Mujhey bata tou sahi aur kaafri kya hai

Kaafri

Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

**voh kaafir aashanaa naa aashnaa yuun bhii hai aur yuun bhii
hamaari ibtadaa taa i.ntahaa yuun bhii hai aur yuuin bhii

aashnaa**

Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

tewar the be-rukhi ke, andaz dosti ka
wo ajnabi tha lekin lagta tha aashna sa

tewar

Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

tum meri aankh key tewar naa bhulaa paao gai
ankahi baat kou samjhou gai tou yaad aauN gaa

ankahi

Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

**tum merii aankh ke tevar na bhulaa paaoge
ankahii baat ko samajhoge to yaad aauungaa

Tevar**

Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

An kahi bat an kahi kab thi.
Itni purshor khamshi kab thi.
zabt hi barh gya tha kuch apna.
Warna dard mein kami kab thi.

Zabt

Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

**tum ne ye kyaa sitam kiyaa zabt se kaam le liyaa
tark-e-vafaa ke baad bhii meraa salaam le liyaa

vafaa**

Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

Hum Ko Un Se Hai Wafa Ki Umeed,

Jo Nahi Jante Wafa Kya Hai **...

**umeed

Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

koi ummeed bar naheen aatee
koee soorat nazar naheen aatee

maut ka ek din mu’ayyan hai
neehd kyon raat bhar naheeh aatee?

maut

Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

**kyuun hamein maut ke paigaam diye jaate hain
ye sazaa kam hai ke jiye jaate hain

paigham**

Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

woh shair key paighaam-e-hayaat-e-abdi hai
yaa naghma-e-Jibreel hai yaa baang-e-Saraafeel

naghma

Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

***Kabhi aansu, Kabhi khushbu, Kabhi naghma ban kar
ham se har shaam mili hai Tera chehra ban kar...

Khushbu***

Re: Lafz Ba Lafz - Poetry Game - Jan 2014

Har Taraf Noor Hai Khushboo Hai
Teri Ankhon Mei Kaisa Jadu Hai
Sari Duniya Hai Meri Jholi Mei
**
Our Duniya Meri Bus Tu Hai
**
*Johli *