Lafz ba Lafz (January 2015)

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

kuch aarzi ujaalay bachaaye hoye hain log. . . . .mutthi main jugnuoon ko chupaaye hoye hain log . . . . . .. ... . . .. . . <MUTTHI

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Lafz batein

<mutthi quote]

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

^ mera Cell pata nahi aadhee post kion kha jata hai ,,mainy lafz bhi likha tha

khair , word is

Mutthi

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

muTThi main chhupa kar jugnoo ki tarha
hum teray naam ko paRha kartay hain

jugnoo

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Lagta hai aap apnay cell koh feed nahin karta becharra bhook kay maray lafz kha jata hai. :)

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

katane lagin raaten aankhon mein dekhaa nahin palakon pe aksar
**kabhii shaam-e-Gariibaan kaa jugnuu kabhii subah kaa taraa hotaa hai

Palkon**

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

mud-hosh heiN palkeiN masti main, mud-hosh hi inko rehnay do
jab TooT ke Khwaab nigahoN maiN cchubh jaaey ga tab deikhaiN gay

Khwaab

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Ab ki bichray to shaid khuwabooN main milain

jis terah sookhay hoye phool kitaboon main milain

sookhay

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

hum hain sookhay huway talaab pay bethay huway hanss
jo ta'luq nibhaatay huway mar jatay hain

ta'luq

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Khamosh

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

ye aur baat ke minmbar pe kuch nahin kehte
Khaamosh log bala ke Khateeb hote hain

Khateeb

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

karee hai jang ke ab ke muqaabile pe 'Faraz'
**ameer-e-shahar bhii hai aur khateeb-e-shahar bhii hai

Jung**

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

usnay taraasha ik naya uzar-e-lang phir
mainay bhi yaaro chhaiR di ik sard jang phir

uzar

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Barhm

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

tum bhi Khafa ho, log bhi barham hain dosto
ab ho chala yaqeen ke buray hum hain dosto

yaqeen

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Yaqeen mohkam, amal peham, mohabbat faateh-e-alam
Jihad-e-zindagani mein hain yeh mardon ki shamsheerain

shamshaeerain

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

kaafir hai to shamsheer pe karta hai bharosa
momin hai to bay-taiGh bhi laRta hai sipahi

bharosa

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Khvaab ummiid nashaa saans tabasuum aansuu
**Tuutane vaalii kisii shay pe bharosaa na karo

Tabasuum**

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

muskurahaT, tabassum, hansi, qehqahay
sub kay sub kho gaye, hum baRay ho gaye

baRay

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

*Iss Dunya-e-hasrat mein Baray Hum ne Azaab dekhy *
**Ishq ki lambi manzil thi, rasty saary kharaab dekhy

rastay **