Lafz ba Lafz (January 2015)

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

jo aana chaaho, hazaar rastay, na aana chaaho uzar lakhoon
mizaaj barham, taweel rasta, barasti baarish, Kharab mosam

taweel

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

bahut taweel shab-e-Gam hai kyaa kiyaa jaaye
**ummeed-e-subah bahut kam hai kyaa kiyaa jaaye

Subah**

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

ahl-e-qafas ki subh-e-chaman main khulay gee aankh
baad-e-saba say wada-o-paymaaN huway to hain

qafas

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

*aashiyaan jal gayaa gulsitaan lut gayaa ham qafas se nikal kar kidhar jaayenge *
**itane maanuus sayyaad se ho gaye ab rihaai milegii to mar jaayenge

sayyad**

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Itnay Manoos Sayyad Say Ho Gaye
Ab Rehaii Milaygi To Mar Jayen Ge.

Manoos

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

:emmy: Mera shair parho.

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

:omg: :rotfl:

taaweel

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

bahut taweel shab-e-Gam hai kyaa kiyaa jaaye
**ummeed-e-subah bahut kam hai kyaa kiyaa jaaye

Subah**

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

taweel nahin taa'weel se shair post karna hai

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Dont know the difference. :hmmm:

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

taweel (tuwe) se lengthy, taaweel te se argument / reasoning

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

kartay hain Ghulamoon ko Ghulami pay razamand
taweel-e-masaael ko banatay hain bahana

Ghulami

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

taweel (تویل)to aap jantay hi hain

taaaaweel (تاویل) ye hay


Restored attachments:

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Thanks

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Muhammad ki ghulami bara sila dy ge,
Chahray ko gulab ki tarh khila dy ge,
Mat chorna kbi dam-e-mustafa,
**Ye muhabbat tumhen Allah sy mila dy ge

Allah**

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

yeh meri waaraftagi, ma'az-allah
tum bhi aaye to kuch khabar na hui

waaraftagi

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

waaraftagi ka matlab?

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

waaraftagi = kisi cheez main gum hona, magan hona, hosh main na hona

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Dil ki waaraftagi hai apni jagah
**Phir bhi kuch ehteyaat si hai abhi

Ehteyaat**

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Andaisha