Lafz ba Lafz (January 2015)

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

haathoon main chupaaye huway phirta hay kaee zakhm
sheeshay kay khilonoN say behalta tha jo ik shakhs

sheeshay

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

sheeshaa toote Gul mach jaaye
**dil toote aawaaz na aaye

toote**

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

us waqt tanhaai meri
ban kar mujassim be-kassi
kardeti hay paish-e-nazar
huu-hak sa ik weraan ghar
barbaad jisko chhoR kay
sab rehnay waalay chal basay
TooTay kiwaaR aur khhiRkiyaan

mujassim

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

ab to aankhon par Ghum-e-hastii ke parde par gaye
**ab koii husn-e-mujassim benaqaab aayaa to kyaa

pardey**

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

be-parda nazar ayeen jo kal chand bibiyan
Akbar zameen main ghairat-e-qomi say gaR gaya
poocha jo un say, aap ka parda wo kia hoa?
kehnay lageeN kay aql pay mardoon ki paR gaya

aql

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

aadam ko ajab Khudaa ne rutbaa bakhshaa **
*adanaa ke liye maqaam-e-aalaa bakhshaa *
**aqal
*-o-hunar-o-tamiiz-o-jaan-o-imaan *
**is ek kaf-e-Khaak ko kyaa kyaa bakhshaa

Rutbaa**

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

samajh sakay na log seyaany
ishq ka rutba ishq hi janay

seyaanay

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Khakar Kay Do Chot, Janaab Khud Ko **Sayana**** Samjhte Hain**
**Lab Pe Nahi Laate, Magar Aahen Hum Dil Mein Bharte Hain

Aahein**

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

kaheen aahain, kaheen sadmay, kaheen wabaal rakha hay
tumharay hijr ne malba ye dil pe daal rakha hay

malba

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

aab wahaN yadooN ka Bikhra Howa Malba he to Hay
Jiss Jagah Ishq Nay Bunyad-e-MakaN rakhi Thi
:hinna:
Bunyad

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

aaj ye diivaar pardon kee tarah hilane lagii
**shart lekin thii ki buniyaad hilanii chaahiye

Pardon**

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Uthany Do Aaj PardooN Ko Zara Hum Bhi To DaikhaiN
Koun Sa Chaand Chupa Hay Iss Naqab Kay Peechay

Naqab

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

hamesha hi nahi rehtay kabhi chehray niqaboon main
sabhi kirdaar khultay hain kahani khatm honay par

khatm

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Yaad karne ko yaad baaki thi !
Khatam** hua tha zindagi ka safar Yaad aaya !!

Zindagi**

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

lab pay aati hai dua ban kay tamanna meri
zindagi shamma ki soorat ho Khudaayaa meri

dua

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

aaiiye haath uthaayen hum bhii **
**ham jinhen rasm-e-
dua** yaad nahin **
*hum jinhen soz-e-mohabbat ke siwaa *
**koii but, koii Khudaa yaad nahin

Khudaa**

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

apni apni anaa main gum,
kabhe woh Khuda, kabhe main Khuda

anaa

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Ana ki qaid say niklay muqabla toe karay
Woh mayra sath nibhanay ka hosla toe karay

hosla

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

*na aarazuu pe qaid hai na hausale par jang hai *
**hamaare hausale kaa ghar hamaarii himmaton kaa ghar

Aarzuu**

Re: Lafz ba Lafz (January 2015)

ye Khayaal saray hain aarzi, ye gulaab saray hain kaGhzi
gul-e-aarzu ki jo baas thay wohi log hum say bichaR gaye

aarzi