Lafz ba Lafz (January 2015)

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

hadd say tawaqqoaat zyada kiye huway
bethay hain dil main ik irada kiye huywa

hadd

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

ab dhuundhane chale ho musaafir ko dosto
**hadd-e-nigaah tak na rahaa jab gubaar bhii

Musaafir**

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

lakhon hi musafir chalte hain
manzil pay pohoncchte hain do ik
aye ahl-e-aamana qadr karo
nayaab na hon, kamyaab hain hum

qadr

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

YadooN maiN basa Rakah Hay Tujhay Iss Qadr
Koi Waqt Poochay to Taira Naam Bata Daitay haiN :smack:

YadooN

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

yaadain baaroodi surangoon jesi
zehan main har taraf dhamakay hain

dhamakay!!!

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Dhamakay hein kahin to kahin hai Qatl e momin
**Phir qatil bhi smjhy keh milygi aab pazeera'i

Momin**

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Kafir ho to shamsheer pey karta hai bharoosa. ...
Momin hai to bey Taigh bhi larta hai sipahi

Kafir

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

*vo kaafir aashanaa naa aashnaa yuun bhii hai aur yuun bhii *
**hamaari ibtadaa taa intahaa yuun bhii hai aur yuun bhii

Ibtadaa**

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Ibtada-e-Ishq Hai Rota Hai Kya
Aage aage dekhiye hota hai kya

Rota

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

:rotfl:

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

kyon hijr ke shikave karataa hai kyon dard ke rone rotaa hai
**ab ishq kiyaa hai to sabr bhii kar is mein to yahii kuchh hotaa hai

Shikavey**

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha.
apne hisse ki koi shama jalate jaate

shama

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

*shama bhii ujaalaa bhii main hii apanii mahafil kaa *
**main hii apanii manzil kaa raahabar bhii raahii bhii

Raahbar**

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Aah, kis ki justajoo aawara rakhti hay tujhay
rah tu, rah-ro bhi tu, rah-bar bhi tu, manzil bhi tu

justajoo

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

nazar se justajuu bekaar nikalii
**Khud apane aap se do-chaar nikalii

bekaar**

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

ye galiyon kay aawara bekaar kuttay
ke baKhsha gaya jinko zaoq-e-gadaaii

kuttay

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

baazi

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

aakhir ko aaj apane lahuu par huii tamaam
**baazi miyaan-e-qaatil-o-Khanjar lagi hui

Lahuu**

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

Chipak raha hay badan par lahu say pairahan
hamari jaib ko ab haajat-e-rafu kya hay

rafu

re: Lafz ba Lafz (January 2015)

*ye zakhm saare be-davaa ye chaak saare be-rafuu *
**kisii pe raakh chaand kii kisii pe os kaa lahuu

zakhm**