--Kuttay aur unn kay Jazbaat...

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

to be contd… :wink:

abhi zara haddian torhnay ka waqfa hay na … thori tawanai bharr looon haddian chaba kar :wink:
jab tak keep it on and on :wink:
Alalh hafiz jaan

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

hehe.. sahi sahi.. chalein aaj se Azeem-e-Alam Jiaab Kuttay Sahib .. if you say so :smiley:

i’ll try if i’m still online.. take care.. Allah Hafiz hugs for my bhaiyya

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

This is a parody of my own latest poem found in my own journal :blush:

dekho maiN nay apnaY kalaam ko hee kuttoN kee nazar kar diYaa :stuck_out_tongue:

Sar-e-Shaam, Gali par nazraiN jaamataY rehnaa
BhoNKtay kuttoN say khud ko bachaataY rehnaa

Baazaar maiN jub bhee dekhtaa hooN maiN surat uss kee
Hawanaq chehraY pe maut kay kuttay manDlaataY rehnaa

Yaad uss ko woh ehd-e-kutta panaa ho kaY naa ho
Mujh ko hai yaad ussko ab dilaataY rehnaa

JaanaY waalaY ko kabhi aana tau naheeN hai laikin
kuttaa jo uss paar ho koi, tau hai subb ko aataY rehnaa:D

Yaad jo kabhi aataY haiN lamhaY woh Maah-e-December kaY
Sard raatoN maiN medaan maiN kuttaY laRaataY rehnaa

Woh uss kee bay Wafaayee, Woh bay Rukhi, woh Sard Mehri
Raat maiN bhee abb tau kuttaY say daraataY rehnaa

Hai sharamsaar Ishq, Mohabbat Sar nigooN hai laikin
QissaY KuttoN kaY Anwaar phir bhee sunaateY rehnaa

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

:konfused: woh kis cheez ka???

Allah ka shukar aur app logo ki duayee(pata nahi dete bhi hai k nahi:bummer: )

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

hyy Allah, maasoomiat tau dekho:D kaToraY bhar looN iss maasoomiat kaY :hehe:

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat...

Yeh galiyon ke Awara be-kaar kuttay
ke bakhsha gaya jin ko zoq-e gadai
zamanay ki phatkar sarmaya un ka
jahan bhar ki dhutkar un ki kamai

na Araam shab ko, na rahat saweray
ghalzat main ghar, naliyon main baseray
jo bigrain tou ik dusray se lara do
zara aik roti ka tukra dikha dou
yeh har aik ki thokrain khanay walay
yeh faqon se ukta ke mar janay walay

yeh mazloom makhlooq gar sar uthay
tou insan sab sarkashi bhool jay
yeh chahain tou duniya ko apna bana lain
yeh Aaaqaon ki haddiyan tak chaba lain
koi in ko Ehsas-e zillat dila de
koi in ki soi hui dum hila de

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

hehe just like a good girl :-p
waisay agaar kuttay sahib umar main chotay hoon to sirf Kutta keh kar bhi bula sakti ho aap :-p

ps: me back, waiting for other clowns :-p

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat...

Dada abba-

i strongly suggest that you should lobby for a forum just for kuttas.....all the information about kuttas be given there- how to bark in public forums- how to do some special stuff kuttas often do waghaira waghira

And i already nominate you as moderator of that forum :D

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat...

And the name of the forum is ** KUTTA FORUM **

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat...

Anwaar,

yar After your nazam on Jinaab Kuttay sahib, ... this thread has got a weight...
for me I can use this as reference and can show our love and admirations about the love of kuttay... I am sure no one has adored ever in history to this animal teary...

[QUOTE]
Yaad uss ko woh ehd-e-kutta panaa ho kaY naa ho
Mujh ko hai yaad ussko ab dilaataY rehnaa

[/QUOTE]

 yaar whole nazam is classic ... 

samjh nai araha k kaisaydaad doon
dil chahta hay teray moonh par aik laat doon :-p

you never wrote any nazam on me ... :-( now I am jealous :s

**Jaan Lewa,
**yaar apnay ander kuch khaad paani daala karo taakay jaldi say baray ho jao...
phir hamain chotay chotay 2-4 darjann jaan leway(jr) Dada Chachoo bola karaingay ;-)

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

wow barbi :slight_smile:
aap kay dil main kutton ka dard daikh meray dil main dard aur barh gaya hay :frowning:
aap isi tarah piaaray piaaray kutton k baaray main likhti raha karain…
wa’Allah aaj aik aik kutta ashk-baar hoga yeh parh kar… so nic eof you tears

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

nai yar wo keh daingay k itnay saaray hain to already :-(… lekin sachi aap kay jazbaat’tat daikh kar dili khushi howi kay logon kay dilon main ab bhi kutton kay baaray main insaaniat hay…tears
aaj mulk kay saaray kuttay proudy hongay k wo akailay nai hain…ab bhi kuch insaan hain jo doosron say behtar hain hugs

Chalo Chalo Nashtar park chalo…
Kutton ki maangain poori karo…

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat...

aaj 4 july hay--kutton ki azadi ka din

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

kitni mohabbat hay aap k dil main kutton k liye :halo:

Ata bahi aaj tabeyat kuch behtar hay ya kal jaisa haal hay? :stuck_out_tongue:

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

hain acha :s… to aaj hamara August 01 hay, and kutton kay calnder ka 4 July :s

ahem… celebrate karain ham bhi kia :wink:

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

Vived,
tabiyat to ab theek howi hay na :frowning:

Ab mujhay raat din
kutton ka hi khayal hay
kia karoon hyy rayy dil
kutton kay jaisa haal hay…tearys

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

^ :smack: aap ko kya ho gaya hay Ata bahi.. pehlay achey bhaley thay.. :bummer:

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat...

^-- Kutton kay ishq nay deewana pagal kardia hay...:-(
dil chahta hay apni zindagi sirf kutto kay naam kardoon...
bohat wafadaar hotay hain kuttay ...

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat...

:s... I am feeling sick...
feeling fever and stuff now...Iam leaving...
take care u all...
Allah hafiz...

ps: meray Kuttay thread ko hamesha abaad rakhna :-(
bohat wafaa daar hotay yeh kuttay...
boi boi...

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

LOL@4th july kuttoN kee aazadi kaa din :rotfl:

kahaaN saY aaye yeh kuttaY?
kaun laY kar aayaa yeh kuttaY?
baRaY aawaarah haiN yeh kuttaY?
gali ke shehzaadaY haiN kiYa yeh kuttaY?
kiss kay jiger kaY TukRaY haiN yeh kuttaY?
cycle kay bhee shayad hotaY haiN kuttaY:konfused:

(I remember Cycle kay kuttaY fail ho jaanaa = cycle kay break fail ho jaanaa in urdu) :confused: