Kuttay tu akhir kuttay hain..... per insan bhi kia kuttay hain??
Akhir hum insan mai kutta Q dhoond rahay hain?? kia is leay kay woh wafadar hota hai
per kia woh aazad hota hai??? Nahee tu phir ghulam hota hai...... aur kia main ghulam banna chahonga kisi insan ka?? Nahee kabhi nahee. Tu phir mujh say kuttay walay kam ki ummeed Q?
Main aazad hoon aur apni marzi ka maalik... phir main dosron kay isharon per Q hilon?
Kia mujh main shaoor nahi hai achay buray ka .. phir main Q doosron kay kehnay main aaon?
meri apni ana hai, apna mizaj hai, apni khoohishat hain... mian kab tak doosron ke khoohishat per amal karta rahoon?
Log mujhay haddi dalna chahtay hai, mujhay apnay ishaoon pay chalana chahtay hai, jis kay leay main taiyar nahee hoon.
Haan, main taiyar hoon kudday bannay kay liay agar mera maalik bhi kutta he ho, jo meray jazbatoon ki zaban samajhta ho, mera saath har muskil ghari main daita ho, mera ahtram karta hoon, us ke nigahoon main meray liay izzat ho, meri ghalation ko woh nazar andaz ker sakha ho........ tub tu woh mujh say wafa ke ummed rakeh warna mujhay us ke koi fikar nahee
per kia aisa koe ha jo in batoon aur bohat se doosri batoon ka khayal karta ho????
Agar hai tu main khud sopurdagi kay liay taiyar hoon Warna.......
Main kutta nahe banna chahta, main aazad he rehna chahta hoon.
ImranQ, **
Jigar, I will Bhow you back laters, I am very sick these days... can't do anything so juz plz wait...sorry :-(
** Diyah baji,**
yeh thread to sirf Kutton ka hay na :-)
** Maheenz,**
chanda yeh kaisa bachon wala icon laga lia ? :s khair suit on ju, cuz u r chunni munni for me hehe, waisay hay bara cute mashAllah...but less than u :-p
** Jaan leewa,**
jigar meray laal, I can't even do bhow in reply... pata nai kuch galat horaha hay meray sath :s... feeling very sick from inside...shayad aakhri time to nai mera ? :s...khair sanuki, acha hay na ;-)
**
Jaanu meri jaan kay totay,**
yar dushmano ko q dua daitay ho…aakhir wo bhi to kuttay hain…kisi maa k baitay… q unn ko apni maa say juda kartay ho
aur waisay bhi aaj nai to kal to jaana hi hay na… so aaj q nai ? :s
and … yar hazar saal jia to 2-hazaar dafa khud kushi karloonga :s… aisi baatain na karo… dil doonay lagta hay
khair… chalo thori si dair flooding kartay doosray thread ain tum loogn k sath
Shoib chanda,
w’salam…
yaar abhi iss thread amin kuch bhonknay ka mood nai… thori dair aur hoon tum loogn k sath… kisi doosray dhaagay main chaltay hain
app bemar ho, Allah tahallah ap ko aram deh gah inshallah, wo jo humari bhabhi hain un se joshandah banwa kar piyain , waiseh app doc ke pas ghe ho? , mere khayal main har 14 din baad app beamr hoteh ho.