--Kuttay aur unn kay Jazbaat...

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

:wsalam: :stuck_out_tongue:

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

LogoN par bhoNktaY rehnaY kay hum naheeN Qaa’il
Jub kaaT hee naa khaayaa, woh kuttaa kiyaa hai :halo:

Har baat per bhoNktaY ho: ‘bhow bhow aff’
tum hee batlaao yeh kuttaa panaa kiyaa hai:halo:

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

lawa

Hummmmm achhay **“Jazbaat” **ka izhaar kiya.

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

OMG… OMG… buss kabhi ghuroor naheeN kiyaa… maiN doosroN kay jazbaat aisaY hee paRh laitaa hooN.. I am happy maiN nay jazbaat kee saheeh tarjumaani kee hai… kuch kammi reh gaYee hai tau aap poori kar dijiye gaa :blush:

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat...

** --Kuttay aur unn kay Jazbaat...**

Waqeyi, Kuttay bohat khoosh hoye hoongay.

Kuttay tain thho uttay.

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

dosroN kee khushi maiN jeenaa he jeenaa hai lalloo!

Mugembo khush huaa .. ha ha ha

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat...

"Kuttay tain thho uttay."

Is jumlay par ghor karain.......!

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

kissi kuttay say kahaiN woh kar legaa ghaur… :halo:

abhi apun kay paas inn kutti baatoN par ghaur karnaY kaa time naheeN hai baap :smokin2:

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

Aap ka mutala kahan geya.:snooty:

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat...

kuttaY bechnaY ...

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat...

kutta kutta bhonk raha hai gali gali k nookar pe
k kuttay kaum ka sarmaya hai innhay bank mai rakh kar 5 sall baad double hasil karay:)

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat...

^
KuttoN kee kammi naheeN Ghalib
Ik dhoondho, hazaar miltaY haiN

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat...

kuttooN ko kuttoo jaisa pyar nahi milta
kahi kutooN k bachay tou kabhi unn ka baap nahi milta

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

Astugh-fi-rullah…:rotfl::rotfl::rotfl:

Aap dono bhayi to kamal kay zareef hain…:rotfl::rotfl::rotfl:

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat...

Gali main jo Khara hai to woh bhi hai Kutta
Drawing room main jo leta hai to woh bhi hai Kutta

Roti per lar raha hai to woh bhi hai Kutta
Kha kar bemaar jo howa hai to woh bhi hai Kutta

Kayi sallon say gutter kay paani main sota hai to woh bhi hai Kutta
Roz "Bath Gel" say jo nahata hai to woh bhi hai Kutta

Bhonkanay par pather khata hai to woh bhi hai Kutta
Awaz jis ki record ki jaye to woh bhi hai Kutta

(Bus bus bus OMG stop stop stop......!)

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

Tabhi tau aap say poochha hai…ops sorry.

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

kabhi kisi kuttay kay sath baith kar…
uss say baat kar kay…
uss kay dil ki baat sun kay…daikhna…phir aap ko ehsaas hoga k
aik kuttay kay dil main kitnay armaan hain… kitna dukh hay uss k dil main
kiss qadar dukhi hay kutta…
lekin ham insaan bas apni dunnia main mast hain…

kisi kuttay kay dil par kia beetihay yeh ham nai jaantay
bass apni khushion main mast hain…
bay hiss ho chkay hain ham…
apni khushion k liay kisi bhi kuttay ka dil chalni kar daitay hain…
kabhi murh kar daikjhtay bhi nahi k wo kutta zinda bhi hay ya nahi…
lekin kuttay kabhi apni zabaan say aik lafz bhi nai nikaaltay k kaheen *unhain *bura na lag jai…

kabhi socha hay kisi kuttay kay baaray main ?
kabhi kisi dukhi kuttay say baat karnay ki koshish ki hay ap na ?
kabhi kisi zakhmi kuttay kay zakhmoon par marham rakha hay kabhi ?
kabhi khud bhokay reh kar kisi kuttay kuttay ko khilaya hay kabhi?

** Fazeelat madam,**
ham kehnay ko to insaan hain …lekin asal insaaniat to kutton mian hay…
wo wafa daar hotay hain
wo dhoka nai daitay…
kutton ka kaam to sirf wafa karna aur hamain daina hota hota…
maangna to kutton nay seekha hi naikabhi…

kabhi akailay kisi konay main ukroon baithna deewar ki taraf moonh kar kay aur meri batoon par gorh karna kabhi…

phir ap ko pata chalayga k kutta kitna azeem shaks hay…

hamesha kah hay main nay aj phir kahoonga kay…
har insaan k dil main 2-3 kuttay chupay baithay hain
lekin harr kuttay main aik insaan zaroor chupa hota hay…

fe amaan Allah…

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat...

^ Aap ko meri nazam kesi lagi?

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat…

Classic mudhosh

yeh nazam parh kar jab main nay daikha ayeenay main to
jo nazar aaya wo qioon laga mujhay nahi hay aadmi ? :s

mashAllah Good going OMG … please keep it up, we will make World Kutta Organisation, and we will make you ‘Kutta Women Shairi Manager’

Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat...

Shukriya...adaab. Nawazish.