Re: --Kuttay aur unn kay Jazbaat...
A contrary theory ------------ ATTA comments plz,
Kuttay tu akhir kuttay hain..... per insan bhi kia kuttay hain??
Akhir hum insan mai kutta Q dhoond rahay hain?? kia is leay kay woh wafadar hota hai
per kia woh aazad hota hai??? Nahee tu phir ghulam hota hai...... aur kia main ghulam banna chahonga kisi insan ka?? Nahee kabhi nahee. Tu phir mujh say kuttay walay kam ki ummeed Q?
Main aazad hoon aur apni marzi ka maalik... phir main dosron kay isharon per Q hilon?
Kia mujh main shaoor nahi hai achay buray ka .. phir main Q doosron kay kehnay main aaon?
meri apni ana hai, apna mizaj hai, apni khoohishat hain... mian kab tak doosron ke khoohishat per amal karta rahoon?
Log mujhay haddi dalna chahtay hai, mujhay apnay ishaoon pay chalana chahtay hai, jis kay leay main taiyar nahee hoon.
Haan, main taiyar hoon kudday bannay kay liay agar mera maalik bhi kutta he ho, jo meray jazbatoon ki zaban samajhta ho, mera saath har muskil ghari main daita ho, mera ahtram karta hoon, us ke nigahoon main meray liay izzat ho, meri ghalation ko woh nazar andaz ker sakha ho........ tub tu woh mujh say wafa ke ummed rakeh warna mujhay us ke koi fikar nahee
per kia aisa koe ha jo in batoon aur bohat se doosri batoon ka khayal karta ho????
Agar hai tu main khud sopurdagi kay liay taiyar hoon Warna.......
Main kutta nahe banna chahta, main aazad he rehna chahta hoon.