kuch nazmein

Re: kuch nazmein

kia baaat hai ji
zabardast

na shikayatain na gila karay
koi aisa shakhs hua karay
jo meray lye sada karay
meri chahtain meri qurbatain
jo yaad rakhay qadam qadam
main baray taveel safar main hon
meri wapsi ki dua karay
kabhi royay jab, bay panah
kabhi bay tahasha udaas ho
kabhi chupkay chupkay dabay qadam
meray peechay aa kay hansa karay
bara shor hai meray sheher main
kisi ajnabi k nazool ka
wo meri jan na ho kahay koi
ja kay uss ka koi pata karay

Re: kuch nazmein

zabardast

*abr-e-bahaar ne
phuul kaa cheharaa
apane banafshii haath me.n lekar
aise chuumaa
phuul ke saare dukh
Khushbuu ban kar bah nikale hai.n....:) *

Re: kuch nazmein

wah ji

tum bin jeevan rasta hai
dukh to yeh hai, chalna hai
main nay ansoo rokay par
badal toot k barsa hai
jab bhi palkain mondi hain
tum ko samnay paya hai
ishq ki rahain lambi par
jeevan kitna chota hai
dil main basnay walon ko
ghar ka rasta bhola hai
beenayi ki baat na kar
pyar to andha hota hai
tanhayi ka meray saath
sadyon ka ek rishta hai
iss ki manind khud ko bhi
ek na ek din khona hai

Re: kuch nazmein

mery dil mery musafir
hua phir se hukum sadir
k watan badar hon hum tum
dein gali gali sadaain
k suraagh koi pain
kissi yaar nama ber ka
her ik ajnabi say poochain
jo pata tha apnay ghar ka
ser-e-ko-e-nashanaya
humain din say raat kerna
kabhi is say baat kerna
kabhi us say baat kerna
humain ye bhi tha ghaneemat jo wisaal-e-yaar hota
humain kia bura tha merna agar aik baar hota

Re: kuch nazmein

WAH MY FAV

Lerkiyoun kay khwaaboun ki
baat hi niraalee hai
Ek gheri mein palkoun per
Kehkashaan kay rangoun koo
Yeh bikhair laitee hain
Aur ek lamhey mein
khud bikhher bhi jaati hain
Khud sey dar bhi jaati hain
Haan yeh mar bhi jaati hain

Re: kuch nazmein

bohat khoob

***Kiaa Milla Muhabbat SaY..
Khuwab Kii Musafet SaY..
Wisaal Kii Tamazet SaY..
Rooz-O-Shab Kii Riyaazet SaY..
Kiaa Milaa Muhabbat SaY..
Aik Hijrr Kaa Sehra..
Aik Shaam Yaadoun Ki..
Aik Thakka HOya AnsoOo..
Aur Tanhaii Hamaesha Ki


Re: kuch nazmein

tumhain dil say bhulanay ki
shaoori koshishain kar kay
tumhain na yaad karnay ki
zarori koshishain kar kay
main khud he thak gaya hon ab
adhori koshishain kar kay

Re: kuch nazmein

hmmm nice

my most fav

Pagal Aankhon wali larki...
itnay Mehengay Khwab na dekho...
Thakk jao gi....
Kanch say nazuk khawab tumhary...
Toot gaye to pachtaogi...
Tum kya jano..!!!!!
Khawab.... safar ki dhup k teshay...
Khawab... adhoori raat ka dozakh.
Khawab...Khayalo ka pachtawa.....
Khawabo ka haseel tanhai.............
Mehngay khawab kharidnay ho to...?
Aankhain bechna parti hain.....
Rishtain bhulna partay hahin..
Andhesho ki rait na bhampo..
Khawabo ki oat sarab na dekho
Pyaas na dekho
Thakk jao gi.............

Re: kuch nazmein

thak jaogi:D

kisi mausum bhi jana
hamari yaad ka dil say
agar jo rabta tootay
to dil ko dosh mat dena
samjh lena
k jo tum say yeh keht atha
"tumhara pyar jeevan hai"
woh ab aisa nahi kehta

Re: kuch nazmein

fiqar na karien ager light na jaye tow:teary1:

phir chaand khilla phir raaat thami
phir dil ne kaha hai tairi kami
phir yaad k jhonke mehk gai
phir pagal armaan behk gai
phir janat sii lagti hai zamin
phir dil ne kaha hai tairi kami
phir guzray lamhon ke baatain
phir jaagi jaagi sii ratain
phir thehr gaiee palkon pe nami
phir dil ne kaha hai tairi kami …

Re: kuch nazmein

Wuh din bhi door nahi
jab waqt ki chandni balooN main utar aye gee
Chehray pay pat jhar ka mousaM ho ga
PaooN main sadiyooN ki thakaN ho gee
hathooN main yadooN ka kafaN ho ga
KanooN main zehreeli sargoshiyaN hoon gee
HuntooN pay guzartay lamhooN ki pyas ho gee
AnkhooN main sulagti hoye Yaas ho gee
Dil maiN andekhay zakhm hooN gay
Jism per utarti hoye shaam ho gee
is waqt Lout Aana…
Maine Teri Ruh Say Mohabbat Ki Hay !

Re: kuch nazmein

Nice sharings Ts and DS :bb:

Re: kuch nazmein

thanks sid babu aap jaisey barey logon ney humara thread dekha nawazish:D

Re: kuch nazmein

bohat khoob ye lein jawab meri taraf sey

Main Yeh Nahin Kahta
K Koi Dil Main na Samaye
main yeh nahin kahta
K koi Aarzoo na Ban Paye
Per..! Itna Zaroor kahna hai
Ager samjh Sakoo to
K dil Main Kabhi kisi ko
Itni Jaga Na do
K Dil k liye Dharkna he
Mushkal Hojaye.....!

Re: kuch nazmein

Koi Wada Nahin Hum mein
Na aapas mein Buhat Baatein
Mager Ek Ankahi Si Hai
Jo Hum Dono Samajhtey Hein
Yeh Saarey Dilruba Manzer
Tilismi Chandni Raatein
Ya Sukh Ki Bersaatein
Sabhi Ek Saath Kehtey Hein
Sabhi Ek Zidd Mein Kehtey Hein
Muhabbat Yun Nahin Achi!!!!!
Muhabbat Yun Nahin Achi!!!!!

Re: kuch nazmein

wow G gr8

Re: kuch nazmein

its simply beautiful tahreem saheba, one that appealed to me more :)

Re: kuch nazmein

aap dono- TS n DS :D ne ye ik zabardast thread banaya huwa hae. keep it up!

Re: kuch nazmein

ik meri taraf se. mukhtasar si :)

zara thehro
ke tumse ik zaruuri baat karni hae
idhar aao
ke raste mei khara hona hamen acha nahi lagta
yahan baetho
ke baaten toh hamesha hum tasalli hi se karten haen
hame is tarha matt dekho
nahi toh hum tumhare saamne kuch keh na payenge
to haan, bas baat itni hae
chalo chorro
kabhi maoqa mila to phir batayenge


~~~~~~~~*~**

Re: kuch nazmein

wah bohat khubsurat ek he nazam sab pey bahri gayee:D