kuch nazmein

Re: kuch nazmein

***suna hai
har shub teri ankhoon sai
kuch sitare tootte hain
aur zamee main jazb ho ker
usse seraab kerte hain
mera chehra hai ek sehra
suno!
gar tumhare kuch sitare toot ker
iss per baras jayain
to un k oos qatroon sai
sehra seraab ho jaye
chehra gulaab ho jaye



Re: kuch nazmein

kia baat hai
jeoooo

Tum bhi mujhe se sare rishty tor chuki thien
main nai bhi ek dousra rasta dakh liya tha
tum nai bhi mujhe se aihad kar liya tha
main nai bhi ek baat kahi thi
tum nai mari sab tasverien wapis day kar
apne khat mujhe se mangy thy
lakin aaj rasaly main apna ek shair tumhare naam
se dekha hai
to soch raha hoon
cheezon ki pahchan adhuri rah jayay
to yaadein aina ban jati hain

Re: kuch nazmein

wah lajawab kar deya aap ney

Re: kuch nazmein

Kaha ussnay
Tab waqai mujhey tum se muhabbat thee
Kaha mainay
Main tu ab bhi tum se muhabbat kerta hoon
Woh tab kii baat kerti hai
Main ab ki baat kerta hoon
Magar iss ab aur tab ke darmeyaan jo faasla hai
Woh hum donno se mil ker bhi samaita jaa nahi sakta
Woh ab tak aa nahi saki
Main tab ko paa nahi sakta _ :)

Re: kuch nazmein

wahhhh meri fav hai
aj to larayi hogi:D

mohabbat khud batati hai
kaha kiss ka thikana hai
kisay ankhon main rakhna hai
kisay dil main basana hai
rihaa karna hai kiss ko
aur kissay zanjeer karna hai
mitana hai kisay dil say
kissay tehreer karna hai
gharonda kab banana hai
kaha tameer karna hai
mohabbat mashwaroon, pand-o-naseehat
aur taveezon k tabaay to nahi hoti
MOHABBAT KHUD BATATI HAI
KAHA KISS KA THIKANA HAI

Re: kuch nazmein

hahha larai tow larai sahi bohat khoob ab meri suneye

Mujhay Acha Sa Lagta hay,
Tumahin ko Dekhtye Rehna,
Tumhain ko Chahtye Rehna,
Tumhain ko Sochtye Rehna,
Tumahin Ko Suntye Rehna,
Bohat Gehre Khayalon Main,
Jawabon Main Sawalon Main,
Mohabbat kay Hawalon Main,
Tumhara Naam Aajana,
Mujhay Acha sa lagta hay,
Tumharye sang sang chalna,
Wafa Ki aag main jalna,
Tumhain naraz kar dayna,
Kabhi khud bhi roth jana,
Tumharye berukhi pay bhi,
Tumhari Aarzo karna,
Khud Apnay Dil ki dharkan say,
Tumharyi Guftago Karna,
Mujhay Acha sa lagta hay,

Re: kuch nazmein

khob
ohh to ap amaadaa hain larnay par

Baarishoo ke mausam main
dil bohat machalta hai
Tery sang chalny ko
tujh se baat karny ko
Teri baat sunany ko
dil bohat machalta hai
Dil ko kaisy samjhain
hum ko zindagi bhar ab
Barishoon ke mausam main
bheegna bhi hai tanha
Aur tanha chalna hia
Dil ko kaisy samjhain
Barishoon ke mausam mian
Tujh ko yaad karna hai

Re: kuch nazmein

jab Jii Chahy aa jana
dil ki baat suna jana
Mein sab batein sun lon ga
aur Phirr Teri ankhon k
Saray Taray chun lon ga
.

Re: kuch nazmein

Kisi mausam main bhee janaaN
Hamari yaad ka dil se
Kabhi jo rabta tootay
Tu khud ko doosh matt daina
Faqat itna samajh laina
K jo tum se yeh kehta tha
Tumharai yaad jeevan hai
Woh ab aisa nahin kehta

Re: kuch nazmein

bohat khoob

dukh ki lehar ne chera ho ga
yaad ne kankar phenka ho ga
aaj to mera dil kehta he
tu is waqt akela ho ga
mere chome hue hathon se oron ko khat likhta ho ga
bheeg chalin ab raat ki palken
to ab thak ker soya ho ga
angan men phir chiryan bolen
tu ab so kar utha ho ga
yadon ki jalti shabnam se
phool sa mukhra dhoya ho ga
moti jesi shakal bana kar
aine ko takta ho ga
sham ke chalte hath ne tujh ko
mera salam to bheja ho ga
men to aaj bohat roya hun
tu bhi shayad roya ho ga
NASIR tera meet purana
tujh ko yaad to ata ho ga


Re: kuch nazmein

khobsorat

tehreem ji kab tak larna hai

Khudaya mujh ko kuch na dey
nahi kuch bhi nahi ab chahiye
bus us ki khwahish pori ker dey
jo duaaoin mein
sadaaoin mein
mujhey hi maangta hai...!

Re: kuch nazmein

Aksar shab-e-tanhai ma
Kuch dair pehlay nend sa
Guzri hui dilchaspiyan
Beetay huya din aish k
Bantay hain sham-e-zindagi
Aur daltay hain roshni
Mairay dil-e-sad chak par

Woh bachpan aur woh sadgi
Woh hansna aur rona kabhi
us par jawani k mazay
Woh guftago woh kehkahay
Sab yad atay hain.......

Re: kuch nazmein

us nay kaha aao
us nay kaha thehro
muskao kaha us nay
marr jao kaha us nay
mein aaya
mein theher gya
muskaya
aur marr bhi gya

Re: kuch nazmein

wah bohat khoob

**Shab-e-Tanhaai
Wo jo Bare Sukh Main Hai
Usay Kehna
K raat ka Pichla Pehar hai
Aur ham jaagtay hain
Hamari Aankhon se neend Koson door hai
Hamaare lab abhi tak us k Naghmay Gungunaate hain
Hamara zehan abhi bhi us ki batain sochta hai to
Kabhi ham hans dete hain
Kabhi jee bharr k Rotay hain
Shab-e-Tanhaai ki yakh bastaa hawaaon
Usay Kehna
Ham ab bhi baa-wazzo ho kar tumhara naam lete hain
Usay kehna
Ya apna Naksh dho jaye
Ya Phir Se Apna Ho Jaye *
*



Re: kuch nazmein

kia baat hai

Kaash k tu a jayay
ke jab main tujay pukarooon
ke jab main tujay sochoon
ke jab tyri yaad mujay satayay
ke tujh bin jab raha na jayay
aay kaash k tu a jayay
ke jasy bin badal bersaat ho jayay
ke jasy paysi dherti syraab ho jayay
ke jasy badloon main say achanak chaand nazer aayay
bychain dil ko youn qarar a jayay
aaaaay kaash kay ek bar tu a jayay

Re: kuch nazmein

Allah lari kartey karety time ka pata he nahi chala ok now i hve to go Inshallah phir shoro kareygeye ok take care

Re: kuch nazmein

ok as u wish

Re: kuch nazmein

Aik our nazam aap k nazar kar rahi hoon umeed hai pasand aye gee

**merey sab zakahm jhotey hian
mujey kis bat ka ghum
asal mein sach to yeh kay
nahi kuch aur kerney ko
to waqat guzari ki khater
mein dukh ki mehfal sajata hoon
mein unn batoon ko roota hoon
jo ager hotian
to dukh deti
mein un khaboon pe roota hoon
jo ager bikhrety to
dukh dtey
mein unn logon ko rota hoon
jo kabhi thay nahi apney
jo apney ban nahi saktey
ager bantey merye apney
to dukh detey
mujey adat hay roney ki
kay barishain achi lagti hain
agr barish nahi bati
to rona kab bhlaa lagta *
*

Re: kuch nazmein

buhat khoob

Udasi tark ker do abb
Yunhi bekar mat baitho
Kisi ke hijr mai Jana!
Na khud ko itna tarpao
Udasi aik shola hai
Gharon ko jo jalata hai
Yeh dil bhi ik gharonda hai
Jo jal jaye...
To kuch baqi nahi rehta
Meri mano
Woh sarey khat
Jo uss ne tum ko likhey thay
Jala dalo
Tumhein jis ne bhula dala
Usey tum bhi bhula dalo

Re: kuch nazmein

bohat khoob .

***meri pasand jantey ho
meri kamzori se waqif ho
is leay surakh gulaab ki adh kali beshumaar kalyaaN
meary sarhanay chor jatey ho
meri wahshtooN ko samjtey ho
is leay doobtey suraj aur
udaas shamooN ko canvas pe utar laatey ho
meri tanhaa'eooN se waqif ho
is leay har saal meri salgeera pe
suraj ki pahli kiran k sath
salgeera mubarak kahnay pohnch jatey ho
magar tum ye nahi jantey k
meri pasand, meri kamzorioN, meri udasiooN
aur tanhaa'eooN se waqif honay k bawajood be!
meri soochooN ka mehvaR tum NAHI ho