kuch nazmein

Re: kuch nazmein

thanks bheegiyaad

Re: kuch nazmein

bohat khoob Ahmer thanks

Re: kuch nazmein

meri bohat he fav nazm aap k nazar

**ussay kehna"
mukammal kuch nahi hota,
milan bhi na-mukammal hai,
judai bhi adhuri hai,
yahan ek mout poori hai...!
"ussay kehna"
udasi jab ragon main khoon ki maanind utarti hai,
bahot nuksan karti hai,
"ussay kehna"
dukhon k shehar main jab raat hoti hai,
mukammal kuch nahi hota,
mukammal bas KHUDA KI ZAAT HOTI HAI...! *
*

Re: kuch nazmein

my fav also
thc for sharing

Re: kuch nazmein

[quote="deadsoul, post:29418, topic:141889"]

my fav also
thc for sharing/q

thanks deadsoul

Re: kuch nazmein

uss nay apni sari qeemti cheezain
utha kar sanbhaal lin
SIWAYAY MERAY

parveen shakir

Re: kuch nazmein

wow ye meri fav lines hai or parveen shakir ke to baat he kuch or hai

Re: kuch nazmein

nazams khatam hogayin kia?:D

Re: kuch nazmein

nahi jee khatam to nahi hoi per net boht slow hai thats y

Re: kuch nazmein

Umer kay samnder main
Zindgi kay dharay hain
Roshni ki khuwahish main
Waqat kay sitaray hain
Jis khuda nay yeh dherti
yeh falaq sawaray hain
Us say illtaja yeh hai
Bus mari dua yeh hai
Wo tumhari kismat main
Elm ki rida likh day
Khawab ki adda likh day
Piyar ki sadda likh day

Re: kuch nazmein

bohat khoob maza agaya perh k meri net:teary1:

Re: kuch nazmein

thx
meri nahi “mera net” boltay hain
urdu ki taang na torain:smilestar:
:smiley:

Re: kuch nazmein

uss nay meray hath mai bandha
ujla kangan belay ka
pahlay pyar say thami kalai
bad us k holay holay pahnaya
gahna pholon ka
phir jhuk ker hath ko choom lya!
phool to akhir phool hi thay
murjha hi gaye
lakin meri ratain un ki khushboo say ab tak roshan hain
bahoon per wo lams abhi tak taza hay
(shakh-e-sanoober per ik chand damakta hay!)
phhol ka gahna
praim ka kangan
pyar ka bandhan
ab tak mere yad k hath say lipta hua hay

Re: kuch nazmein

wo toot he jati ghalti sey iam sindhi speaking so thats y hum sey aksar urdu kee taang toot jati:D

Re: kuch nazmein

wah
khob hai

Re: kuch nazmein

hmm phir theek hai

Re: kuch nazmein

***JHEEL MAI CHAND
**teri ankhain
bohat gehri....bohat hi khubsoorat hain
ijazat ho tu mai kuch der in ma jhank k dekhoon
k mujh ko chand k manind
jheelon ma utarna
lutf deta ha *

Re: kuch nazmein

kia baat hai
hmmm ap muqablay pay utar ayin hain

yaad hai jana
tum nay pichli baar kaha tha
mujh ko bhool k khush rehna hai
tum ko to me bhol na paya
lekin jana
chupkay chupkay dukh sehta hon
ab me aksar khush rehta hon

Re: kuch nazmein

wah deadsoul jee superb muqaabla kaisa bus maza aaraha hai so dekhtey hain kahtan tak chalta hai ye nazam ka dor

Re: kuch nazmein

Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota
*Chahton ki dori bhi,
Torna hi parti hay
Manzilon ki kashti bhi,
Morna hi parti hay
Bhoolna hi parta hay,
Khud say piyaray logon ko
Aur dil kay aangan mein,
Naqsh un ki tasweerain
Kuch haseen lafzon ki,
Kuch haseen tehreerain
Paaoon jin mein jukrain hon,
Kholna hi parti hain
Khoobrurat aankhon mein basnay walay khawbon ko
Nochna hi parta hay
Dil say milta her rishta torna hi parta hay......
kiun keh......
Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota!!!
*