kuch nazmein

Re: kuch nazmein

wow
kia baat haii....
tehreem rocks...

Re: kuch nazmein

yes barish per dua karo k rehmat wali ho aaj kal kuch zyada he tabahi ho rahi hai anyways aap ke poetry again haseen thee jee

Re: kuch nazmein

thankssssssssssssss dead soul jee aaj waqai main maza aya share kartey hoey now mujhey bhook lagi hai i will b back Inshalllah after the short brake:D

Re: kuch nazmein

take ur time

Re: kuch nazmein

Me Too.. Mujhe Tou Heavy Rain Se Ishq Hai..

Karachi Main To Kaafi Baarish Hui.. I Enjoyed Alot.. Buhat Bheega :$

Monday Se Dobara Expected Hai :)

Re: kuch nazmein

hmmm
lucky guy

Re: kuch nazmein

*DAULAT
**Maine Usskay Hathoon mai
Ek Siyah Til Dekha
Aur Kaha
Yeh Daulat Ka Til Hai
Usne Apnay Dono Hathoon Mai
Mera Chehra Thaama
Aur Kaha
Haan Dekho
Mere Dono Hathoon mai
Kitni Daulat Hai.... *
~~~
*~~~

Re: kuch nazmein

*sab khubsurat thayn....magar ye parh ke ik aah nikal ayee. bahot achi hae aap ki choice tahreem saheba. *

Re: kuch nazmein

buhat khob
aj ka din ap ki nazmon k naam

Main ne us say puchaa
Kya dhoop main barish ho saktee hai ?
Us ne kaha " haan ".
Phir hastaay hastaay ronay lagee
Aur dhoop main barish honay lagee.

Re: kuch nazmein

Main ne us say puchaa
Kya dhoop main barish ho saktee hai ?
Us ne kaha " haan ".
Phir hastaay hastaay ronay lagee
Aur dhoop main barish honay lagee.

bohat khoob deadsoul aap logon ke pasandeedgi ke wajah sey he share karney ke himmat hoti hai thanks alot<!-- / message -->

Re: kuch nazmein

Main ne us say puchaa **
**Kya dhoop main barish ho saktee hai ?

Us ne kaha " haan ".
Phir hastaay hastaay ronay lagee
Aur dhoop main barish honay lagee.

one of my favourites :)

Re: kuch nazmein

INTIQAM
*us ne
Ajeeb Intiqam liya
Meri neendon se
Dosti kar k.... *

Re: kuch nazmein

So Touching..

Re: kuch nazmein

thanks Ahmer

Re: kuch nazmein

DIL JAHAN THA
**
hum is saf mai thay na or na us saf mai
rastay mai kharay un ko taktay rahay
or chup chap aanso bahatay rahay
lout k aa ker jo dekha tu phoolon ka rang
jo kabhi surkh tha zard hi zard ha
apna pehloo tatoola tu aisa laga
dil jahan tha wahan dard hi dard ha *
*

Re: kuch nazmein

Khoob..

Aa He Basay Hain Aap Meri Rooh Main Ager
Mujh Ko Meray Wujuud Se Bahar Na Phenkeay

;)

Re: kuch nazmein

umdaaa

yon to likhnay k lye kia nahi likha me nay
phir bhi jitna tujhay chaha, nahi likha me nay
meray har lafz ki vehshat me hai umer ka ishq
yeh koi khel tamashaa nahi likha me nay

Re: kuch nazmein

ooo how sweet i love this one:)

Re: kuch nazmein

nice

Re: kuch nazmein

thanks or bohat khoob contribution raha hai aap ka is thread main thanks again