kuch nazmein

Re: kuch nazmein

DIL JAHAN THA
**
hum is saf mai thay na or na us saf mai
rastay mai kharay un ko taktay rahay
or chup chap aanso bahatay rahay
lout k aa ker jo dekha tu phoolon ka rang
jo kabhi surkh tha zard hi zard ha
apna pehloo tatoola tu aisa laga
dil jahan tha wahan dard hi dard ha *
*