Re: kuch nazmein
DAULAT
Maine Usskay Hathoon mai Ek Siyah Til Dekha Aur Kaha Yeh Daulat Ka Til Hai Usne Apnay Dono Hathoon Mai Mera Chehra Thaama Aur Kaha Haan Dekho Mere Dono Hathoon mai Kitni Daulat Hai.... * ~~~**~~~
buhat khob
aj ka din ap ki nazmon k naam
Main ne us say puchaa
Kya dhoop main barish ho saktee hai ?
Us ne kaha " haan ".
Phir hastaay hastaay ronay lagee
Aur dhoop main barish honay lagee.