Re: kuch nazmein
zabardast
abr-e-bahaar ne phuul kaa cheharaa apane banafshii haath me.n lekar aise chuumaa phuul ke saare dukh
*Khushbuu ban kar bah nikale hai.n....:) *
wah ji
tum bin jeevan rasta hai
dukh to yeh hai, chalna hai
main nay ansoo rokay par
badal toot k barsa hai
jab bhi palkain mondi hain
tum ko samnay paya hai
ishq ki rahain lambi par
jeevan kitna chota hai
dil main basnay walon ko
ghar ka rasta bhola hai
beenayi ki baat na kar
pyar to andha hota hai
tanhayi ka meray saath
sadyon ka ek rishta hai
iss ki manind khud ko bhi
ek na ek din khona hai