kuch nazmein

Re: kuch nazmein

sorry kal ligh chali gayee the ye lein aaj is ka jawab :D

*baarishon ka mausam hai
rooh ki fizaaon main
gham zada hawaaon main
bay sabab udaasi hai
is ajeeb mausam main
bay qarar raaton ki
bay shumaar baatain hain
un ginat fasaanay hain
jo buhat khamooshi say
dil pe sehtay phirtay hain
aur ba amar majboori
sab say kehtay phirtay hain
"aaj mausam buhat accha hai
aaj hum buhat khush hain" *