Kiun ummron kay janjaal main ho
Sab behtay samain ki dharaa hai
Tuney uss kay ishq main jan ganwaa di
Jo khala main jhoolta tara hai
Mujhey uss ki ashqi say matlab hai bas
Jo ishq ka paikar sara hai
Wo kashkol bhi ajj torr do
Jo waqt ki bheek ka maskan tha
Wahan palon ka kuch hisaab nhi
Jahan waqt ka koi nisaab nhi
Jahan ruh ka koi mol nhi
Jahan jism zeest ka khasara hai
Sab behtay samay ki dhara hai
Sab behtay samay ki dhara hai!!!