kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
dil naa ummeed to naheeN, naakaam hee tu hai
lambi hai gham ki shaam, magar shaam hi to hai

[/QUOTE]

maiN na kahta k chahat maiN ujar jaa'ey gha
aa'ey dil-e-nadaaN tu bari dair se samjaa

[QUOTE]
*Originally posted by Zakhmi Umar: *

Yeh ajab uljhan hai k woh pass bhi hai door bhi
Aur main apne aap mein aazad bhi,mehsoor bhi
[/QUOTE]


khawab hotey haiN dekhnay k leay
in maiN ja kar magar raha na karo

beautiful:k:

Keep it up everyone:k:

its been always a pleasure to read this thread:love: :flower1:

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

guzra kartey haiN sulagtey huwey baqie aa'yaam log jab aag lagatey haiN bhujatey bhe nahi cheeN laitey hain kisi shakas k jee ka araam phir paas bulatey be nahi bithaatey bhe nahi

[/QUOTE]

Sahab-e-dil ho to kuch durd-e-mohabat samjho
kya haqeeqat hain mohabat ki, haqeeqat samjho
main to hunsta ho faqt tum ko hansaney k leye
merey hansney pey na jao, meri haqeeqat samjho

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

khawab hotey haiN dekhnay k leay in maiN ja kar magar raha na karo

[/QUOTE]

Bhooley hain rafta rafta unhey mudato.n main hum
Kistou.n main kudkhushi ka maza hum say poochye
aagaz-e-ashqi ka maza aap janye
anjam-e-ashiqi ka maza hum say poochye

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

tum lamhooN ka hisaab rakhtey ho zindghi ki kitaab rakhtey ho fursat milay tu likhna kabi kia mera dehan rakhtey ho

[/QUOTE]

jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
tere liye khuda se taqraar nahi karta
par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta

[QUOTE]
*Originally posted by Zakhmi Umar: *

Sahab-e-dil ho to kuch durd-e-mohabat samjho
kya haqeeqat hain mohabat ki, haqeeqat samjho
main to hunsta ho faqt tum ko hansaney k leye
merey hansney pey na jao, meri haqeeqat samjho
[/QUOTE]

rahya ki yaad hamin is ki khsuh mizaji
mila hia jab wo khush fahmion main daal gaya

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

rahya ki yaad hamin is ki khsuh mizaji
mila hia jab wo khush fahmion main daal gaya
[/QUOTE]
Usay ganwa kay zinda hooN maiN is tarha Mohsin
Keh jaisay taiz hawa maiN chiraGH jalta hai

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Usay ganwa kay zinda hooN maiN is tarha Mohsin
Keh jaisay taiz hawa maiN chiraGH jalta hai

[/QUOTE]

zindghi bhar maiN koi shay tu mukamil kar laiN
aa'o labraiz karaiN sabar k paymanay ko

[QUOTE]
*Originally posted by Zakhmi Umar: *

jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
tere liye khuda se taqraar nahi karta
par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta
[/QUOTE]


maiN kis tarha se teray sung-e-aa'staaN pe jhookooN
tu aur kuch be sahi parr khuda nahi lagta

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *


maiN kis tarha se teray sung-e-aa'staaN pe jhookooN
tu aur kuch be sahi parr khuda nahi lagta
[/QUOTE]

Aaj roothe hue sajan ko buhat yaad kiya
apnay ujde hue gulshan ko buhat yaad kiya
jab kabhi gardish-e-taqdeer ne ghera hai humay
gesooye yar ki uljhan ko buhat yaad kiya

[QUOTE]
*Originally posted by Zakhmi Umar: *

Aaj roothe hue sajan ko buhat yaad kiya
apnay ujde hue gulshan ko buhat yaad kiya
jab kabhi gardish-e-taqdeer ne ghera hai humay
gesooye yar ki uljhan ko buhat yaad kiya
[/QUOTE]

ataa hotey nahi her aa'nkh ko anjum faroosh aa'nsoo
faqat chasham-e-mohabat he ye moti roll sakti hai

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

ataa hotey nahi her aa'nkh ko anjum faroosh aa'nsoo
faqat chasham-e-mohabat he ye moti roll sakti hai
[/QUOTE]
Yeh kis khalish nay phir is dil maiN aashiyana kiya
Phir aaj kis nay suKhan hum say Ghaebana kiya

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Yeh kis khalish nay phir is dil maiN aashiyana kiya
Phir aaj kis nay suKhan hum say Ghaebana kiya

[/QUOTE]


uthaa'ey kuch waraq lala ne kuch nagis ne kuch gul ne
chamaN maiN har taraf bikhri hwuei hia dastaaN meri

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

koi duur ho kay bhi paas hai, koi paas ho ke bhi duur hai
ye ajeeb raat hai dosto keh na hijr hai nah wisaal hai

[/QUOTE]

wafa ki rah maiN koi paraa'oo a he jata hia
bohat bhojhal ho tahni tu jhukaa'oo a he jata hia

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *


wafa ki rah maiN koi paraa'oo a he jata hia
bohat bhojhal ho tahni tu jhukaa'oo a he jata hia
[/QUOTE]
YuuN hee tu SHaKH say pattay gira naheeN kertay
BichaR kay log ziyada jiya naheeN kertay
Jo aanay walay mausam haiN unhaiN shumaar may rakh
Jo din guzar gaye unko gina naheeN kertay

ye saaraa jism jhuk kar bojh se duhraa hua hoga
main sajde mein nahi thaa aap ko dhokaa hua hoga

yaha tak aate aate suukh jaati hain sabhi nadiyaan
mujhe maalum hai paani kahaan thahra hua hoga

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
YuuN hee tu SHaKH say pattay gira naheeN kertay
BichaR kay log ziyada jiya naheeN kertay
Jo aanay walay mausam haiN unhaiN shumaar may rakh
Jo din guzar gaye unko gina naheeN kertay

[/QUOTE]

Ajab sawal kia aandhiou'N nay pattou'N say
Shajar say Toot kay girna batao kessa lagga

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

Ajab sawal kia aandhiou'N nay pattou'N say
Shajar say Toot kay girna batao kessa lagga
[/QUOTE]
Halaat kay qadmooN maiN Sikandar nahee girta,
ToTay jo bhi tara zameeN pe nahee girta,
Girtay hiaN samandar maiN baRay shauq say darya..
Lekin kisi darya miaN samandar nahee girta...

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Halaat kay qadmooN maiN Sikandar nahee girta,
ToTay jo bhi tara zameeN pe nahee girta,
Girtay hiaN samandar maiN baRay shauq say darya..
Lekin kisi darya miaN samandar nahee girta...

[/QUOTE]

koun iss tashnagi e rooh o badan ko samjhay
beech sahra mein khara hoo kay samandar daikhoon