[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
- Thanks Chando Jee.
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Mujh ko paana hai tou phir mujh maiN utar ker dekho
Yuun kinaaray say samandar naheeN dekha jaata
:-| and ye chandu ka keon thanks *
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
:-| and ye chandu ka keon thanks *
[/QUOTE]
Kyun baichaiN hooN maiN kyun araam nahi hai
Kitaab e zeest maiN ab woh naam nahi hai
Kuch is tarha say ankhaiN churaata hai ajkal
Jaisay us kee ankhoN maiN khuwaab nahi haiN.
Chandoo jee nay yeh shair post kia tha kisi thread main waheen say liya, isi liay shukriya bhi ada ker diya. :p
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Kyun baichaiN hooN maiN kyun araam nahi hai
Kitaab e zeest maiN ab woh naam nahi hai
Kuch is tarha say ankhaiN churaata hai ajkal
Jaisay us kee ankhoN maiN khuwaab nahi haiN.
[/QUOTE]
yuuN huwa taqseem meri khawaishooN ka aasmaa'N
chaand idher ko a gaya hai aur sitara us taraf
ho chukay gurqaab meray khawab jis manjdhaar maiN
khul raha hia baadbaaN-e-dil dobara us taraf
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
yuuN huwa taqseem meri khawaishooN ka aasmaa'N
chaand idher ko a gaya hai aur sitara us taraf
ho chukay gurqaab meray khawab jis manjdhaar maiN
khul raha hia baadbaaN-e-dil dobara us taraf
[/QUOTE]
Saahil dikhaa, Khuda! yaa safeena Dubo hee day
Kab tak hawa say mahv-e-jadal baadbaaN rahay!
Kia ishq hai yahi keh rahay woh sitam zareef
Aur meray lab pay naala-o-aah-o-fuGhaaN rahay?
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Saahil dikhaa, Khuda! yaa safeena Dubo hee day
Kab tak hawa say mahv-e-jadal baadbaaN rahay!
Kia ishq hai yahi keh rahay woh sitam zareef
Aur meray lab pay naala-o-aah-o-fuGhaaN rahay?
[/QUOTE]
jawahar ka nikharna tu musahib maiN he mumkiN hai
ujaalooN maiN nahi hoti chiraagooN ki paazeeraa'ee
very nice :k:
hummm kicks dil ki qaynaat. chalain phir say banain.
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
yuuN huwa taqseem meri khawaishooN ka aasmaa'N
chaand idher ko a gaya hai aur sitara us taraf
ho chukay gurqaab meray khawab jis manjdhaar maiN
khul raha hia baadbaaN-e-dil dobara us taraf
[/QUOTE]
hummm baadbaaN-e-Dil
wah wah :k:
![]()
that is a wonderful poem... good job yaar...
thanks lakin ap ka jawab-e-sher kahan hia..:)…long time no see..![]()
[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
hummm kicks dil ki qaynaat. chalain phir say banain.
[/QUOTE]
acha kia marbal buy kar lea jo shoro kaen phir se :)
thanks bibi but why :(…???
thanks bibi but why ..
???
how r u ? ![]()
jawab-e-sher ![]()
aaj kal koi sher wher nahi , m busy these days ![]()
ok i will try to find some good sher ![]()
Re: kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hoee honton me dabee baat na pooch
mein jis ke waastay lar jaaon is khudae se
mujhay khud se hai pyaari yeh kis ki zaat na pooch
wo kis ada se mere saamnay se guzraa abhi
kis tarhan meinay sambhaly mere jazbaat na pooch
waqat jo badlay to insaan badal jaatay hain
kya nahi dikhlaatay yeh gardish-e-halaa na pooch
wo kisi ka ho bhi gaya or mujhay khabar na hoe
kis tarhan usnay churaya hai mujh se haath na pooch
Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaee hai me nay maat na pooch
ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch
[/QUOTE]
:( achi hai..aur sachi bhi...
Re: Re: kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch
[QUOTE]
*Originally posted by Miss Choudary: *
:( achi hai..aur sachi bhi...
[/QUOTE]
Haan achi hai but hum log shair ka reply shair say kertay, aap bhi keejeay na. :)
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
waise awesome work everyone:k: :k: