kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Yahan kay loug apnay khawab dil maiN rakhtay haiN
Tumharey shehar kee yeh ada acchi lagee hum ko

[/QUOTE]

palkooN pe rakh k hont sab khawab chuN leay
sotey main phir mujhay koi bay'daar kar gaya
zidee tha wo tu maiN be thei bala ki Ana parast
aa'ya tha jeetnay mujhay magar haar kar gaya

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

Kaun kiskay qareeb hoota hai apna apna naseeb hota hai
Yaad aata hai jab koi dard dil say qareeb hota hai
TumhaiN dekhaiN meri aankhaiN - is main kia meri khata hai,
Haal kia hai meray dil ka - yeh to bus mujhko pata hai

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Kaun kiskay qareeb hoota hai apna apna naseeb hota hai
Yaad aata hai jab koi dard dil say qareeb hota hai
TumhaiN dekhaiN meri aankhaiN - is main kia meri khata hai,
Haal kia hai meray dil ka - yeh to bus mujhko pata hai

[/QUOTE]

ye aankhein hai thahhri hui chanchal vo nigaahe
ye haath hai sahme huye aur mast vo baahein
parchhai to insaan ke kaam aa na sakegi

tasveer teri dil mera bahlaa na sakegi
ye teri tarah mujh se to sharmaa na sakegi

aaNkh ko jaam samajh baiTha tha anjaane meiN
saaqiyaa hosh kahaaN thaa tere diivaane meiN

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

ye aankhein hai thahhri hui chanchal vo nigaahe
ye haath hai sahme huye aur mast vo baahein
parchhai to insaan ke kaam aa na sakegi

tasveer teri dil mera bahlaa na sakegi
ye teri tarah mujh se to sharmaa na sakegi
[/QUOTE]

dekh lo Khawab magar Khawab ka charcha na karo
loog jal jaayenge suuraj kii tamannaa naa karoo
vaqt ka kya hai kisii pal bhii badal sakataa hai
ho sake tum sey to tum mujh pe bharosaa na karo

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

dekh lo Khawab magar Khawab ka charcha na karo
loog jal jaayenge suuraj kii tamannaa naa karoo
vaqt ka kya hai kisii pal bhii badal sakataa hai
ho sake tum sey to tum mujh pe bharosaa na karo
[/QUOTE]
Umar bhar jinki wafaon pay bharosa keejay,
Waqt paRnay pay wahi log badal jaatay hain !

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Umar bhar jinki wafaon pay bharosa keejay,
Waqt paRnay pay wahi log badal jaatay hain !

[/QUOTE]

kitnay majboor haiN hum apNi Ana k hathooN
raiza raiza be hotey hain bikhartey be nahiN

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

kitnay majboor haiN hum apNi Ana k hathooN
raiza raiza be hotey hain bikhartey be nahiN
[/QUOTE]
Yun raiza raiza ho gaya khuwaboN ka hur mahal
MaiN bikhree khuwahishoN kay badan joRta raha
Bahir tu saja rakhay thay khush rang aaeenay
Ander say dil ka sheesha magar TooTa raha

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Yun raiza raiza ho gaya khuwaboN ka hur mahal
MaiN bikhree khuwahishoN kay badan joRta raha
Bahir tu saja rakhay thay khush rang aaeenay
Ander say dil ka sheesha magar TooTa raha

[/QUOTE]

chaa'hatooN ki rah guzar main aj be tanha udaas
ik prinda pay'er per betha huwa mil jaiey ghaa
pathroon k dais main tha muj ko tanha'ee ka gham
kia khabar thei raa'stey maiN aa'ena mil jaa'ey gha

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

chaa'hatooN ki rah guzar main aj be tanha udaas
ik prinda pay'er per betha huwa mil jaiey ghaa
pathroon k dais main tha muj ko tanha'ee ka gham
kia khabar thei raa'stey maiN aa'ena mil jaa'ey gha
[/QUOTE]

tumhe udaas sa paata huun main kai din se
na jaane kaun se sadme uthaa rahi ho tum
vo shokhiya, vo tabassum, vo kah-kahe na rahe
har ek cheez ko hasrat se dekhti ho tum
chhupa chhupa ke khamoshi mein apni bechaini
khud apne raaz ki taasheer ban gai ho tum

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

tumhe udaas sa paata huun main kai din se
na jaane kaun se sadme uthaa rahi ho tum
vo shokhiya, vo tabassum, vo kah-kahe na rahe
har ek cheez ko hasrat se dekhti ho tum
chhupa chhupa ke khamoshi mein apni bechaini
khud apne raaz ki taasheer ban gai ho tum
[/QUOTE]

*
deemak ki tarha sari khushi chaat ga'ee hai
gham ki ye amarbail jo is dil ko lagi hai
har shaam meray dil maiN uter aata hai suraj
har shaam meri rooh per aik dhoop rehi hai*

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

*
deemak ki tarha sari khushi chaat ga'ee hai
gham ki ye amarbail jo is dil ko lagi hai
har shaam meray dil maiN uter aata hai suraj
har shaam meri rooh per aik dhoop rehi hai*
[/QUOTE]

sooraj si ik cheez to ham sab dekh chuke
sach-much ki ab koi **saher
* de ya allaah *

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

sooraj si ik cheez to ham sab dekh chuke
sach-much ki ab koi **saher
* de ya allaah *
[/QUOTE]
Taareekion Mein Aur Chamakti Hai Dil Ki Dhoop,
Sooraj Tamaam Raat Yahan Doobta Nahin.

Aaap kabhi Offline bhi hotay hain ;)

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Taareekion Mein Aur Chamakti Hai Dil Ki Dhoop,
Sooraj Tamaam Raat Yahan Doobta Nahin.

[/QUOTE]

khud apnay he under se ubharta hia wo mosam
jo rang bichaa daita hia titlee k parooN per

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

khud apnay he under se ubharta hia wo mosam
jo rang bichaa daita hia titlee k parooN per
[/QUOTE]

udaas kaagzi mausam mein rang-o-bu rakh de
har ek phuul ke lab pe mera lahu rakh de

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

udaas kaagzi mausam mein rang-o-bu rakh de
har ek phuul ke lab pe mera lahu rakh de
[/QUOTE]

jiN per faakhtaa'oN k geet phool bantey haiN
aa'oo in darakhtooN pe naam likh k atey haiN

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

jiN per faakhtaa'oN k geet phool bantey haiN
aa'oo in darakhtooN pe naam likh k atey haiN
[/QUOTE]
Khud ko chuntay huway din sara nikal jata hae
Phir hawa shaam ki chaltay hi bikhar jata hooN

nad beautiful sher :k:

shab utarti hai tu yaadaiN be uter ati haiN jis tarha chir'aaN kahiN door se ghar ati haiN roz lay jati haiN ik khawab hawaa'eiN phir aik he shakas ki dahleez pe raakh ati haiN

Its beautiful :k:

Thank you :blush:

RukooN Tu manzilaiN heei manzilaiN haiN
Chaloon tu rasta koi nahee hai

MaiN aisay jamghatay maiN kho gaya hooN
Jahan meray siwa koi nahee hai