kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

raa'eygaaN nahi jati dil pe jo guzarti hai
aa'dmi bikharta hai shaa'eri nikharti hai
[/QUOTE]

vo khwaab tha bikhar gaya khayaal tha mila nahin
magar ai dil ko kya hua kyon bujh gaya pata nahin

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

vo khwaab tha bikhar gaya khayaal tha mila nahin
magar ai dil ko kya hua kyon bujh gaya pata nahin
[/QUOTE]

ankhooN maiN koi khawab utarna nahi daita
ye dil k mujhay chaiN se marnay nahi daita
wo shaks kizaaN ruut maiN be muhtaat hai kitna
sookhay huwey phoolooN ko bikharnay nahi daita

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

thanks banjara..ap k sher k jawab main araz hai...

meRi ankh k taRay ab na dekh paa'oo gaye
raat ki musaafiR they kho gaye ujaalooN maiN..:)
[/QUOTE]

Ye aap ke iss Shair ke Jawab main Koyal jii......

main Musafir tha andheroon ka uss ke dhman ke ujaloon main kho geya...... Main khud ko dhonda rhaha wo muje aapni palkoon main chupye ghoomte rahe... :)

BanJaraa

[QUOTE]
*Originally posted by BanJaraa: *

Manzil safar mein thi, qadam faaslon mein tha
Mein door tha zaroor, Magar Raaston mein tha

hmmmmm:k: lagta hai aap ne kafi kahri choot khai hai kisi se

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Manzil safar mein thi, qadam faaslon mein tha
Mein door tha zaroor, Magar Raaston mein tha

[/QUOTE]

tum ne tu thaak k dasht maiN khay'may laga leay
tanha katay kisi ka safar tum ko is se kia

[QUOTE]
*Originally posted by BanJaraa: *

Ye aap ke iss Shair ke Jawab main Koyal jii......

main Musafir tha andheroon ka uss ke dhman ke ujaloon main kho geya......
Main khud ko dhonda rhaha wo muje aapni palkoon main chupye ghoomte rahe
:)

[/QUOTE]

rahti hai sath sath koi khush'gawaar yaad
tuj se bichar k teri rafaqat nahi gaye

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

tum ne tu thaak k dasht maiN khay'may laga leay
tanha katay kisi ka safar tum ko is se kia
[/QUOTE]
Waqt nay woh Khaak uRaai hai keh dil kay dasht say
Qaaflay guzaray haiN phir bhi naqsh-e-paa koi naheeN

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Waqt nay woh Khaak uRaai hai keh dil kay dasht say
Qaaflay guzaray haiN phir bhi naqsh-e-paa koi naheeN

[/QUOTE]

her cheez badalti hia yahaN waqat k hathooN
badli hai na badaly gyeeN mohabat ki rawa'yet

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

her cheez badalti hia yahaN waqat k hathooN
badli hai na badaly gyeeN mohabat ki rawa'yet
[/QUOTE]

kabhi mujh ko saath lekar, kabhi mere saath chal kar
vo badal gaye achaanak meri zindagi badal kar

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

kabhi mujh ko saath lekar, kabhi mere saath chal kar
vo badal gaye achaanak meri zindagi badal kar
[/QUOTE]

hum tu wafa shikaN thay chalo hum he haiN be-wafa
tum tu wafa shuu'aar they tum keoN badal gaa'ey

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

hum tu wafa shikaN thay chalo hum he haiN be-wafa
tum tu wafa shuu'aar they tum keoN badal gaa'ey
[/QUOTE]

log kahte hain waqt chalta hai
aur insaan bhi badalataa hai
kaash ruk jaaye waqt aaj ki raat
aur badle na koi aaj ke baad

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

log kahte hain waqt chalta hai
aur insaan bhi badalataa hai
kaash ruk jaaye waqt aaj ki raat
aur badle na koi aaj ke baad
[/QUOTE]

kahna tu tha mujhay k ye dunia hia be-wafa
shirminda hooN k lub pe tera naam a gay'aa

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

kahna tu tha mujhay k ye dunia hia be-wafa
shirminda hooN k lub pe tera naam a gay'aa
[/QUOTE]

honthon pe kabhi un ke mera naam hi aaye
aaye to sahi bar-sar-e-ilzaam hi aaye
:)

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

honthon pe kabhi un ke mera naam hi aaye
aaye to sahi bar-sar-e-ilzaam hi aaye
:)
[/QUOTE]

aa'eya he tha abhi mearay lub per wafa ka naam
kuch dostooN ne hath maiN pather uthaa lee'ay

*aisay saada dil logooN ki chaaragari bhala kesay ho
dard ka darmaa'N aur koi ho kahna haal kisi se *

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

aa'eya he tha abhi mearay lub per wafa ka naam
kuch dostooN ne hath maiN pather uthaa lee'ay

*aisay saada dil logooN ki chaaragari bhala kesay ho
dard ka darmaa'N aur koi ho kahna haal kisi se *

[/QUOTE]

nice one koyal jee :)

ek lamhe ko thahar main tujhe patthar la duun
main tere saamne ambaar lagaa duun lekin
kaun se rang ka patthar tere kaam aayega
surkh patthar jise dil kahti hai bedil duniya
ya vo pattharai hui aankh ka neela patthar
jis mein sadiyon ke tahayyur ke pade hon dore

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

nice one koyal jee :)

ek lamhe ko thahar main tujhe patthar la duun
main tere saamne ambaar lagaa duun lekin
kaun se rang ka patthar tere kaam aayega
surkh patthar jise dil kahti hai bedil duniya
ya vo pattharai hui aankh ka neela patthar
jis mein sadiyon ke tahayyur ke pade hon dore
[/QUOTE]

basaa laitey haiN zahnoo maiN hazaroN buut mohabat k
wo jis ko poocjtey thay aa'j wo pather nahi milta

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

basaa laitey haiN zahnoo maiN hazaroN buut mohabat k
wo jis ko poocjtey thay aa'j wo pather nahi milta
[/QUOTE]

shabaab aaya kisi buut par fida hone ka vaqt aaya
meri duniya mein bande ke khuda hone ka vaqt aaya

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

shabaab aaya kisi buut par fida hone ka vaqt aaya
meri duniya mein bande ke khuda hone ka vaqt aaya
[/QUOTE]

shaied bananay walay ko kuch is ka ilm ho
kis nuqta-e-nazar se banaia gyaa hooN maiN

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

shaied bananay walay ko kuch is ka ilm ho
kis nuqta-e-nazar se banaia gyaa hooN maiN
[/QUOTE]

maikhaane mein aaye vaaiz... in ko bhi insaan banaa lo
aariz-o-lab saadaa rahane do... taaj mahal pe rang na daalo

p.s. aapke sher ke reply mein koi appropriate answer nahi mil raha tha but read this and liked it :)