kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Qatra jo milay khuwahish-e-daria nahee kertay
Hum khud say kabhi baRh ker tamanna nahee kartey
AnkhooN kay jazeeray maiN bhi paani nahee milta
Pyaasay haiN magar khuwahish-e-daaria nahee kartey

[/QUOTE]

ghtaa'yeN koN lata hia meri ankhooN k moasam maiN
phir is k baad barish ka nazaara koN karta hia

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *


Youn to pathar kee bhi taqdeer badal sakti hai
Shart yeh hai key usay dil say tarasha jaye

[/QUOTE]


kia milay gha tujhay bikhray huwey khawbooN k siwa
rait pe chaand ki tasveer bananay walay

wow…amazing..very nice..
:k: :k: :flower1: :flower1:

Thanks,
Now tell me who do u think is amazing, :slight_smile:

Shair, Koyal, or WiseGuy :wink:

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *


kia milay gha tujhay bikhray huwey khawbooN k siwa
rait pe chaand ki tasveer bananay walay
[/QUOTE]


Sailab ko na rokeay raasta banaeay
Kis nai kaha tha ghur lab-e-darya banaeay
Ab patharo maiN dekheay khuwabo kay aaenay
Ab paniyo maiN dost ka chehra banaeay

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *


Sailab ko na rokeay raasta banaeay
Kis nai kaha tha ghur lab-e-darya banaeay
Ab patharo maiN dekheay khuwabo kay aaenay
Ab paniyo maiN dost ka chehra banaeay

[/QUOTE]


paa'ooN uthnay lagay be-saakhta teri taraf
tu ne aa'ey dost kahiN muj ko pukara tu nahiN

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *


paa'ooN uthnay lagay be-saakhta teri taraf
tu ne aa'ey dost kahiN muj ko pukara tu nahiN
[/QUOTE]

kahi pukaar na le gahri vaadiyon ka sabuut
kisi maqaam pe aakar thahar na jaaun main

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

kahi pukaar na le gahri vaadiyon ka sabuut
kisi maqaam pe aakar thahar na jaaun main
[/QUOTE]

khirkiaN jaagti ankhooN ki khuli rahnay do
chaand ko dil maiN utarna hia isi zee'nay se se

zeenay=stair

thanks :blush:

where is ur glasses:cool: she is pointing ** Koyal ** :stuck_out_tongue: :smiley: mean anghotha koyal ko dekha’ing..

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

khirkiaN jaagti ankhooN ki khuli rahnay do
chaand ko dil maiN utarna hia isi zee'nay se se

zeenay=stair
[/QUOTE]

khule dariche ke piche do aankhen jhaankti hain
abhi mere intazaar mein vo bhi jaagti hai
kahin to us ke goshaa-e-dil mein dard hoga
use ye zidd hai ki main pukaarun
mujhe taqaza hai vo bula le
qadam usi mod par jame hain
nazar samete hue khada hoon

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

khule dariche ke piche do aankhen jhaankti hain
abhi mere intazaar mein vo bhi jaagti hai
kahin to us ke goshaa-e-dil mein dard hoga

[/QUOTE]


meray chaara'gar na samjay meray dard la'dawa ko
kabhi tu dawa ko dooray kabhi hath utha dua ko

[QUOTE]

use ye zidd hai ki main pukaarun
mujhe taqaza hai vo bula le
[/QUOTE]

muj ko ye aa'rzoo hai k wo utha'yeN niqab
un ko ye intzaar taqaza karey koi

[QUOTE]

qadam usi mod par jame hain
nazar samete hue khada hoon
[/QUOTE]

meray sath chalnay walay teri justaju k sadqay
bari sakhat manzalaiN haiN kahiN thaak k ruk na jana

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *


muj ko ye aa'rzoo hai k wo utha'yeN niqab
un ko ye intzaar taqaza karey koi

[/QUOTE]

humare aur unke pyaar mein fark bas itna
idhar to jaldi jaldi hai udhar...ahista ahista

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *


meray chaara'gar na samjay meray dard la'dawa ko
kabhi tu dawa ko dooray kabhi hath utha dua ko

[/QUOTE]

sun li jo khuda ne woh dua tum to nahi ho
darvaaze pe dastak ki sadaa tum to nahi ho

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

meray sath chalnay walay teri justaju k sadqay
bari sakhat manzalaiN haiN kahiN thaak k ruk na jana

[/QUOTE]

tu mere saath chal na payegi
jab meri raah teri raah se milti hi nahin
phir mera saath nibhane ki zaroorat kya hai
apni maasum tamannaon ko rahabar na bana
khwaab phir khwaab hain labon ki haqiqat kya hai
ye nayi raah tujhe raas nahin aayegi

us ney aahista sey jab pukaara mujhey
jhuk ke takney laga har sitaara mujhey
:blush:

could imagine the stars bowing down…so unhi kuch stars ko pakad kar…

agar aasmaan ki numaaishon mein mujhe bhi izn-e-qayaam ho
to main motiyon ki dukaan se teri baaliyaan tere haar luun

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

could imagine the stars bowing down...so unhi kuch stars ko pakad kar...

agar aasmaan ki numaaishon mein mujhe bhi izn-e-qayaam ho
to main motiyon ki dukaan se teri baaliyaan tere haar luun

[/QUOTE]

kia milay gha tujhay bikhray huwey kha'booN k siwa
raa'eit per chaand ki tasveer bananay walay

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

kia milay gha tujhay bikhray huwey kha'booN k siwa
raa'eit per chaand ki tasveer bananay walay
[/QUOTE]

**
ye sheeshe ye sapne ye rishte ye dhaage
kise kya khabar hai kahaan tuut jaaye
muhabbat ke dariya mein tinake vafaa ke
na jaane ye kis mod par doob jaaye
**

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

**
ye sheeshe ye sapne ye rishte ye dhaage
kise kya khabar hai kahaan tuut jaaye
muhabbat ke dariya mein tinake vafaa ke
na jaane ye kis mod par doob jaaye
**
[/QUOTE]

raa'eygaaN nahi jati dil pe jo guzarti hai
aa'dmi bikharta hai shaa'eri nikharti hai