kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch

sun li jo khuda ne woh dua tum to nahi ho
darvaaze pe dastak ki sadaa...tum to nahi ho :)

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *
sun li jo khuda ne woh dua tum to nahi ho
darvaaze pe dastak ki sadaa...tum to nahi ho :)
[/QUOTE]

dil se jo baat niqalti hia asar rakhti hai
paR nahi taqat-e-parwaz magar rakhti hai

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

dil se jo baat niqalti hia asar rakhti hai
paR nahi taqat-e-parwaz magar rakhti hai
[/QUOTE]

aaiye haath uthaayen ham bhi
ham jinhe rasm-e-dua yaad nahi
ham jinhe soz-e-mohabbat ke siwa
koi buut, koi khudaa yaad nahi

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

aaiye haath uthaayen ham bhi
ham jinhe rasm-e-dua yaad nahi
ham jinhe soz-e-mohabbat ke siwa
koi buut, koi khudaa yaad nahi
[/QUOTE]

mudat huwie k daagh ko suntey thay soo'ey dair
kia janay wo khuda'ee ka mara kahan hai ab..:)

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

mudat huwie k daagh ko suntey thay soo'ey dair
kia janay wo khuda'ee ka mara kahan hai ab..:)
[/QUOTE]

haan vo nahi khudaparast, jaao vo bewafa sahi
jisko ho din-o-dil aziz, usaki gali mein jaaye kyuu

:D

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

haan vo nahi khudaparast, jaao vo bewafa sahi
jisko ho din-o-dil aziz, usaki gali mein jaaye kyuu

:D
[/QUOTE]

mulaqaataiN nasalsal hooN tu dil-chaspi nahi rahti
ye be-tarteeb yaaranay haseeN maloom hotey haiN
:D

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

mulaqaataiN nasalsal hooN tu dil-chaspi nahi rahti
ye be-tarteeb yaaranay haseeN maloom hotey haiN
:D
[/QUOTE]
Sabhee kuch hai tera diya hua sabhee rahataiN sabhee kalafataiN
Kabhi sohbataiN kabhi furqataiN kabhi dooriyaaN kabhi qurbataiN

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Sabhee kuch hai tera diya hua sabhee rahataiN sabhee kalafataiN
Kabhi sohbataiN kabhi furqataiN kabhi dooriyaaN kabhi qurbataiN

[/QUOTE]

sooch lo rah maiN muj ko na preshaaN karna
rasta zeest ka kahtey haiN humwaar nahi

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

ishara aaaur he kuch kaaar raha tha doobnay wala
magar yaa'raan-e-sahil tu salam akhri samjahay
[/QUOTE]

Koyal main bhi kuch kahoon :D

[QUOTE]
*Originally posted by SuraJ: *

Koyal main bhi kuch kahoon :D
[/QUOTE]

g kahiey sab k leay open hia jo be day day sher ka jawab sher main..is se new sher sunanay ko milain gain..wesay itnay dant nikalnay ki kia zarorat hia ...likh do jaldi se..:)

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

sooch lo rah maiN muj ko na preshaaN karna
rasta zeest ka kahtey haiN humwaar nahi
[/QUOTE]

raah aasaan ho gai hogi
jaan pahchaan ho gai hogi

teri zulfon ko chhedti thi sabaa
khud pareshaan ho gai hogi

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

raah aasaan ho gai hogi
jaan pahchaan ho gai hogi

teri zulfon ko chhedti thi sabaa
khud pareshaan ho gai hogi
[/QUOTE]


zulf hasti ko kaa'ee baar sanwara hai magar
is ki fitrat hai bikharna bikhar jaati hia

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *


zulf hasti ko kaa'ee baar sanwara hai magar
is ki fitrat hai bikharna bikhar jaati hia
[/QUOTE]


To nai chaiRa to yeh kuch aur bikhur jaye gi
Zindagi zulf nahee hai keh sanwer jaye gi

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *


To nai chaiRa to yeh kuch aur bikhur jaye gi
Zindagi zulf nahee hai keh sanwer jaye gi

[/QUOTE]


umeed tu bandh jati taskeen tu ho jati
wada na wafa kartey wada tu kia hota

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *


umeed tu bandh jati taskeen tu ho jati
wada na wafa kartey wada tu kia hota
[/QUOTE]

Kaho azal say zara do ghaRi Tahar jaaye
Suna hay aanay ka wada nibha raha hay koi

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Kaho azal say zara do ghaRi Tahar jaaye
Suna hay aanay ka wada nibha raha hay koi

[/QUOTE]

tere waade par jiye hum to yeh jaan jhoot jana
keh khusi se marr na jaate, agar aitbaar hota

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Kaho azal say zara do ghaRi Tahar jaaye
Suna hay aanay ka wada nibha raha hay koi

[/QUOTE]

waa'da kar k aur be aa'fat maiN dala ap ne
zindghi mushkil thei ab marna be mushkil ho gaya

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

tere waade par jiye hum to yeh jaan jhoot jana
keh khusi se marr na jaate, agar aitbaar hota
[/QUOTE]

gazab kia teray waa'day pe aitabaar kia
tumam raat qayamat ka intzaar kia

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

gazab kia teray waa'day pe aitabaar kia
tumam raat qayamat ka intzaar kia
[/QUOTE]

ham intazaar karenge tera qayamat tak
khuda kare ki qayamat ho aur tu aaye

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

ham intazaar karenge tera qayamat tak
khuda kare ki qayamat ho aur tu aaye
[/QUOTE]


yaqeeN rakh k yahaN har yaqeeN maiN hai faraib
baqa kia hai fana ka be aitbaar na kar