kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch

[QUOTE]
*Originally posted by ~Nazish~: *

Dil hii to hai na sang-o-Khisht dard se bhar na aaye kyuuN
roayenge ham hazaar baar koii hameN sataaye kyuuN

dair nahin haram nahiN dar nahiN aastaaN nahiN
baiThe haiN rahaguzar pe ham Gair hameN uThaaye kyuN
[/QUOTE]


gubaar-e-rah se agay niqal gaye hotey
jo ruk k paa'OoN se kantey juda nahi kartey

wo dil pe waar be karta ha ye be kahta ha
k Dil k zakham be ajab haiN bhara nahi kartey

[QUOTE]
*Originally posted by ~Nazish~: *

patthar ke jigar vaalo Gham maiN vo ravaanii hai
Khud raah banaa legaa bahataa huaa paanii hai

phuuloN maiN Gazal rakhanaa ye raat kii raanii hai
is maiN terii zulfoN kii be-rabt kahaanii hai
[/QUOTE]


phool chahay they magar haath maiN aiey pather
hum ne aa'ghosh mohabat maiN sulaa'ey pather

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *


gubaar-e-rah se agay niqal gaye hotey
jo ruk k paa'OoN se kantey juda nahi kartey

wo dil pe waar be karta ha ye be kahta ha
k Dil k zakham be ajab haiN bhara nahi kartey
[/QUOTE]

shikast-e-sheesha-e-dil ki sada he sun lete
wo tund khoO jo kisi ki suna nahi kaRtey

;-)

very nice :k: :slight_smile:

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *


phool chahay they magar haath maiN aiey pather
hum ne aa'ghosh mohabat maiN sulaa'ey pather
[/QUOTE]

insaan apane aap mein majabuur hai bahut
koi nahin hai bevafaa afsos mat karo
- Bashir Badr

phir usi bevafaa pe marate hain
phir vahi zindagi hamaari hai
-Mirza Ghalib

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

insaan apane aap mein majabuur hai bahut
koi nahin hai bevafaa afsos mat karo

[/QUOTE]

aa'shuftaghi se us ki usay be-wafa na jaaN
adat ki baat aur hia dil ka bura nahi

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

aa'shuftaghi se us ki usay be-wafa na jaaN
adat ki baat aur hia dil ka bura nahi
[/QUOTE]

har ek se kahate hain ke "Daagh" bevafaa nikala
ye puuchhe in se koi vo gulaam kis kaa tha :D

[QUOTE]
*Originally posted by ~Nazish~: *
*Tere hote huay aa jaati thi saari duniya
aaj tanha houN tou koi nahiN aanevala *

Koyal and WG, how are you??
[/QUOTE]

Alhamdo Lillah fine ~Nazish~ Jee, aap kaisee hain.

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

aa'shuftaghi se us ki usay be-wafa na jaaN
adat ki baat aur hia dil ka bura nahi
[/QUOTE]
haaN woh naheeN Khuda parast, jaao woh bewafa sahee
Jis ko ho deen-o-dil azeez us kee galee maiN jaaye kyuN

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *
har ek se kahate hain ke "Daagh" bevafaa nikala
ye puuchhe in se koi vo gulaam kis kaa tha :D
[/QUOTE]

Wo qatl ker kay hur kisee say poochtay haiN
Ye kaam kis nay kia hai ye kaam kis ka tha
Wafa karaiNgay nibhaiNgay baat maaniNgay
TumhinN bhee yaad hai kuch ye kalaam kis ka tha

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Wo qatl ker kay hur kisee say poochtay haiN
Ye kaam kis nay kia hai ye kaam kis ka tha

[/QUOTE]

aaj phir qatl ke ilzaam se bachane ke liye
ro rahe hain mujhe suulii pe chadhane vaale

Koyal G :flower1:

B E A U T I F U L indeed :slight_smile:

bohoot khoob :k:

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

har ek se kahate hain ke "Daagh" bevafaa nikala
ye puuchhe in se koi vo gulaam kis kaa tha :D
[/QUOTE]


hum ko un se hai wafa ki umeed
jo nahi jantey wafa kia hai

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *


hum ko un se hai wafa ki umeed
jo nahi jantey wafa kia hai
[/QUOTE]

vafaa ke khvaab muhabbat ka aasra le ja
agar chalaa hai to jo kuch mujhe diya le ja

[QUOTE]
*Originally posted by ~Nazish~: *

shikast-e-sheesha-e-dil ki sada he sun lete
wo tund khoO jo kisi ki suna nahi kaRtey

;-)
[/QUOTE]


jo kisi sooch k saanchay maiN nahi dhal sakta
tu ne kia sooch k is shakas ko chaha aey dil

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
haaN woh naheeN Khuda parast, jaao woh bewafa sahee
Jis ko ho deen-o-dil azeez us kee galee maiN jaaye kyuN

[/QUOTE]

khuda janay ye kis ki jalwa gah naaz hai dunia!
hazarooN uth gaye kasrat wohi baiqe hai mehfil ki

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

aaj phir qatl ke ilzaam se bachane ke liye
ro rahe hain mujhe suulii pe chadhane vaale
[/QUOTE]

aa'j ki raat tu yadooN ka sahara be nahi
aa'j tanha na mujhay chor k jaa'o yaaro

:blush: thanks

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

vafaa ke khvaab muhabbat ka aasra le ja
agar chalaa hai to jo kuch mujhe diya le ja
[/QUOTE]

tum dee'ay ho jo laraztey ho saba k dar se
hum sitaray haiN jo toofaaN se guzar jatey haiN