kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *


Tu dost kisi ka bhee sitamgar! na hua tha
AuroN pay hai woh zulm keh mujh par na hua tha

[/QUOTE]

tu be shaied payar maiN barbaad hai meri tarha
dard main doobi huwie jo yuun teri awaaz hai

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

maanoos jo hotey khalish dard se tum be!
phir dil k dukhanay ka kabhi naam na laitey
[/QUOTE]


Ik umar huee maiN to hansi bhool chuka hoon,
Tum ab bhi meray dil ko dukhana nahin bhoolay! :(

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

tu be shaied payar maiN barbaad hai meri tarha
dard main doobi huwie jo yuun teri awaaz hai
[/QUOTE]
Qarar paa na sakay hum du ghaRee kay liay
Tamam umar tarstay rahay kushi kay liay
Yeh kia keh app nay barbad kar diya hum ko
Yeh zindagee tou hameree thee app hee kay liay.. ;)

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Qarar paa na sakay hum du ghaRee kay liay
Tamam umar tarstay rahay kushi kay liay
Yeh kia keh app nay barbad kar diya hum ko
Yeh zindagee tou hameree thee app hee kay liay.. ;)

[/QUOTE]

mohabat k leay dil dhoondh koi tootnay wala
ye wo ma'ey hai jisay rakhtey hian aabgeeno ki tarha
khaamosh aiey dil bhari mehfil main chilana nahi acha
adaab pahlay qareena hia mohabat k qareenoo maiN

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

mohabat k leay dil dhoondh koi tootnay wala
ye wo ma'ey hai jisay rakhtey hian aabgeeno ki tarha
khaamosh aiey dil bhari mehfil main chilana nahi acha
adaab pahlay qareena hia mohabat k qareenoo maiN
[/QUOTE]


Yeh dil kabhi na muhabbat maiN kaamyaab hua
Mujhay Kharaab kiya, aap bhee Kharaab hua

Ajal maiN, zeest maiN, turbat maiN, hashr maiN zaalim
Teray sitam kay liay maiN hee intaKhaab hua

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *


Yeh dil kabhi na muhabbat maiN kaamyaab hua
Mujhay Kharaab kiya, aap bhee Kharaab hua

Ajal maiN, zeest maiN, turbat maiN, hashr maiN zaalim
Teray sitam kay liay maiN hee intaKhaab hua

[/QUOTE]

kahna tu tha mujhay k ye dunia hai be-wafa
shirminda hooN k lub pe tera naam a gaya

*Tere hote huay aa jaati thi saari duniya
aaj tanha houN tou koi nahiN aanevala *

Koyal and WG, how are you??

[QUOTE]
*Originally posted by ~Nazish~: *
*Tere hote huay aa jaati thi saari duniya
aaj tanha houN tou koi nahiN aanevala *

Koyal and WG, how are you??
[/QUOTE]

bilkul thek ap sunao nazoo


dunia samj rhei hia juda muj se ho gaya
nazarooN se door ja k be dil se na ja saka

Mein bhee theek :)

*Goshaa-e-Dil maiN koi Phuul khilaa'ye rakho
Aik Umeed pe AaaNgan ko Sajaa'ye rakho

Yaad usski tou kissi Taaq maiN rakhne ki nahiN
Yeh saheefaa hai isse Dil se laga'ye rakho

Meraa ImaaN hai keh usse LauT ke ghar aana hai
Taaq pe koi Diyaa Roz jalaa'ye rakho*

[QUOTE]
*Originally posted by ~Nazish~: *
Mein bhee theek :)

*Goshaa-e-Dil maiN koi Phuul khilaa'ye rakho
Aik Umeed pe AaaNgan ko Sajaa'ye rakho

Yaad usski tou kissi Taaq maiN rakhne ki nahiN
Yeh saheefaa hai isse Dil se laga'ye rakho

Meraa ImaaN hai keh usse LauT ke ghar aana hai
Taaq pe koi Diyaa Roz jalaa'ye rakho*
[/QUOTE]

Beautiful nazzoo


phirtay rahay hum bhi baharon ki aas par
do'lee ho jaisay moaj kinaron ki aas par
wo log phir simat-tay nahi hain bikhar k dost
Jeetay hain jo kisi kay saharon ki aas par

Hum ne jin ke liye rahoon maiN bichaya tha lahu
wohi hum se kahte haiN a'hd-e-wafa yaad nahiN
zindgi ek jabr-e-musalsal ki tarah kati hai
jaanay kis jurm ki saza pai hai yaad nahiN

[QUOTE]
*Originally posted by ~Nazish~: *
Hum ne jin ke liye rahoon maiN bichaya tha lahu
wohi hum se kahte haiN a'hd-e-wafa yaad nahiN
zindgi ek jabr-e-musalsal ki tarah kati hai
jaanay kis jurm ki saza pai hai yaad nahiN
[/QUOTE]


doobeeN haiN meri ungleyaN khud apnay lahoo maiN
ye kaanch k tukrooN ko uthaanay ka siila hia

:k:

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

kahna tu tha mujhay k ye dunia hai be-wafa
shirminda hooN k lub pe tera naam a gaya
[/QUOTE]

jab kabhi teraa naam lete hain
dil se ham intaqaam lete hain

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *


doobeeN haiN meri ungleyaN khud apnay lahoo maiN
ye kaanch k tukrooN ko uthaanay ka siila hia
[/QUOTE]

zindagi tuune lahuu leke diyaa kuchh bhii nahin
tere daaman mein mere vaaste kyaa kuch bhi nahin

mere in haathon ki chaaho to talaashi le lo
mere haathon mein lakiron ke sivaa kuch bhi nahin

*Ham ne dekha hai kaii aise khaudaa'on ko yahaaN
saamne jin ke vo sach much ka khudaa kuch bhii nahiN

Ya khudaa ab ke ye kis ranG se aaii hai bahaar
zard hi zard hai peRoN pey haraaf kuch bhii nahiN*

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

zindagi tuune lahuu leke diyaa kuchh bhii nahin
tere daaman mein mere vaaste kyaa kuch bhi nahin

mere in haathon ki chaaho to talaashi le lo
mere haathon mein lakiron ke sivaa kuch bhi nahin
[/QUOTE]


zindghi resham-o-kamkhawaab nahi hai aiey dost
tuj ko jeena hai tu phir pather ka jigar paida kar

[QUOTE]
*Originally posted by ~Nazish~: *
*Ham ne dekha hai kaii aise khaudaa'on ko yahaaN
saamne jin ke vo sach much ka khudaa kuch bhii nahiN

Ya khudaa ab ke ye kis ranG se aaii hai bahaar
zard hi zard hai peRoN pey haraaf kuch bhii nahiN*
[/QUOTE]


ahsaas ki qandeel se roshaN ho jis ka dil
us ko kabhi jugnoo ki zarorat nahi parti

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *


zindghi resham-o-kamkhawaab nahi hai aiey dost
tuj ko jeena hai tu phir pather ka jigar paida kar
[/QUOTE]

patthar ke jigar vaalo Gham maiN vo ravaanii hai
Khud raah banaa legaa bahataa huaa paanii hai

phuuloN maiN Gazal rakhanaa ye raat kii raanii hai
is maiN terii zulfoN kii be-rabt kahaanii hai

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *


ahsaas ki qandeel se roshaN ho jis ka dil
us ko kabhi jugnoo ki zarorat nahi parti
[/QUOTE]

Dil hii to hai na sang-o-Khisht dard se bhar na aaye kyuuN
roayenge ham hazaar baar koii hameN sataaye kyuuN

dair nahin haram nahiN dar nahiN aastaaN nahiN
baiThe haiN rahaguzar pe ham Gair hameN uThaaye kyuN