Koyal
April 13, 2003, 2:31pm
321
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
hmmmmm why can't I see you on msn???? :(
Dil akela hai bohat laala-e-sahraa kee tarah
Tum nay bhi chhoR diya hai mujhay duniya ki tarah
[/QUOTE]
ufff ap abhi be hamin nahi dekh sako gaye msn per
PS: kabhi kabhi msn ko rest be dya karo masoom ko :p
ye bura he sahi sar-e-bazar tu na kah
akhir tu is maka'N maiN kuch raha hai tu
Koyal
April 13, 2003, 2:33pm
322
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Zindagi jaab behi kisi shay ke tamana kartee hai
Maray hoontoon par tara naam machal jata hai
[/QUOTE]
zindghi bhatakti hai dostoN ki basti maiN
be-rukhi hai chahrooN pe ahh kia zamana hia
Dilsay
April 13, 2003, 2:42pm
323
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
zindghi bhatakti hai dostoN ki basti maiN
be-rukhi hai chahrooN pe ahh kia zamana hia
[/QUOTE]
Zindagi say ya he gila hai mujahay
Tu bohat dair say mila hai mujahay
Koyal
April 13, 2003, 2:58pm
324
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Zindagi say ya he gila hai mujahay
Tu bohat dair say mila hai mujahay
[/QUOTE]
meray daman maiN shara'rooN k siwa kuch be nahi
ap pholooN k kharee'daar nazar atey haiN
Dilsay
April 13, 2003, 3:10pm
325
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
meray daman maiN shara'rooN k siwa kuch be nahi
ap pholooN k kharee'daar nazar atey haiN
[/QUOTE]
Dastoor husna waloon ka kitna ajeeb hai
Bhajay thay phool aya hain patha jawab main
Koyal
April 13, 2003, 3:17pm
326
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Dastoor husna waloon ka kitna ajeeb hai
Bhajay thay phool aya hain patha jawab main
[/QUOTE]
hey kis naz se phir us ne uthaa'ya hai niqaab
zarab pahlay se be kaari hai khuda kher karey
Dilsay
April 13, 2003, 3:19pm
327
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
hey kis naz se phir us ne uthaa'ya hai niqaab
zarab pahlay se be kaari hai khuda kher karey
[/QUOTE]
Main isiliya thee chahoon ka unhain behi aya gusa
Vo ult dain kash parda mari bay rukhi say jal kar
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
hey kis naz se phir us ne uthaa'ya hai niqaab
zarab pahlay se be kaari hai khuda kher karey
[/QUOTE]
"Shakeel" apanay mazaaq-e-deed kee takameel kya hoti
Idhar nazaroN nay himmat kee udhar ruKH par naqaab aaya
Koyal
April 17, 2003, 9:21pm
330
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
"Shakeel" apanay mazaaq-e-deed kee takameel kya hoti
Idhar nazaroN nay himmat kee udhar ruKH par naqaab aaya
[/QUOTE]
nazar ki joo'laaniyaaN na poocho nazar haqeeqat maiN wo nazar hia
uthey tu bijli panaa'h maangay jhukay tu dunia kharab kar day
Koyal
April 17, 2003, 9:23pm
331
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Ay ishq kee be-baaqi, kya tunay kaha un say
Jis per unhaiN gussa hai, inkar bhi, hairat bhi
[/QUOTE]
aa'ghaz-e-wafa anjaam-e-wafa do waqat ye nazuk hotey haiN
kal hum se zamana barham tha aj in se zamana barham hai
Dilsay
April 18, 2003, 8:52am
332
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
aa'ghaz-e-wafa anjaam-e-wafa do waqat ye nazuk hotey haiN
kal hum se zamana barham tha aj in se zamana barham hai
[/QUOTE]
Itna mat chahoo usay aghaza e safar main
Jaab wo becharay ga tu har ak ada tang karay gee
Koyal
April 18, 2003, 12:51pm
333
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Itna mat chahoo usay aghaza e safar main
Jaab wo becharay ga tu har ak ada tang karay gee
[/QUOTE]
aa'h ko chaiey ik umar asar honay taak
kon jeeta hia teri zulf k sar honay taak
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
aa'h ko chaiey ik umar asar honay taak
kon jeeta hia teri zulf k sar honay taak
[/QUOTE]
Neend os kee hai, dimaaGH os ka hai, raataiN os kee haiN
Teii zulfaiN jis kay baazoo per pareeshaaN ho gayeeN
Dilsay
April 18, 2003, 6:13pm
335
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
aa'h ko chaiey ik umar asar honay taak
kon jeeta hia teri zulf k sar honay taak
[/QUOTE]
Arzoo sabar talab aur tamana bay tab
Dil ka kiya rang karoon khoon jigar honay tak
Dilsay
April 18, 2003, 6:14pm
336
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Neend os kee hai, dimaaGH os ka hai, raataiN os kee haiN
Teii zulfaiN jis kay baazoo per pareeshaaN ho gayeeN
[/QUOTE]
Bhool ka zat tujah koo yaad kiya
Baat bay baat tujah ko yaad kiya
Neend naraz hoo gayee hum say
Hum nay jis raat tujah koo yaad kiya
Koyal
April 19, 2003, 12:10am
337
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Arzoo sabar talab aur tamana bay tab
Dil ka kiya rang karoon khoon jigar honay tak
[/QUOTE]
ik umer ka hasil choota hia mudat ka sahara toota hia
dil thehartey thehartey thehray gha sabar atey atey aa'ega
Koyal
April 19, 2003, 12:15am
338
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Bhool ka zat tujah koo yaad kiya
Baat bay baat tujah ko yaad kiya
Neend naraz hoo gayee hum say
Hum nay jis raat tujah koo yaad kiya
[/QUOTE]
be-sood hai zalim se mohabat ki tawo'qaa
aiey dost kabhi aa'g maiN be phool khiltey haiN
Dilsay
April 20, 2003, 12:02pm
339
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
ik umer ka hasil choota hia mudat ka sahara toota hia
dil thehartey thehartey thehray gha sabar atey atey aa'ega
[/QUOTE]
Hum say aak dil abad nahi hoo pat
Log sahra ko behi gulzar baba datay hain
Dilsay
April 20, 2003, 12:03pm
340
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
be-sood hai zalim se mohabat ki tawo'qaa
aiey dost kabhi aa'g maiN be phool khiltey haiN
[/QUOTE]
Dil say nakal deejaia ahsah e arzooo
Mar jayeea kisi ke tamana na keejia