kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch

[QUOTE]
Originally posted by WiseGuy: *
Inn Baarishon say dosti achi naheeN Faraaz
Kacha tera makaan hai, kuch tou khayaal kar * ;) *

Mazaa barsaat ka chaaho tou meri Aankhon maiN aa baiTho
Woh barson maiN barsti hai, yeh barson say barasti haiN

[/QUOTE]

thanks sher sahi karnay ka jahan parha tha wahan asiay h likha tha :(

ankhin pighal gaa'eyN isay magmoom dekh kar
dil apni be-basi ki nadamat main jal gaya

very nice shair :k:

wah je kia kehnay hain:k::k:
mujhe nahi pata tha ke is topic mein itne Aal poetry chal rahe hai:D:k:
keep it up guys:k:
waise kia hum bhu post kar saktay hain kuch yahaan:)

sure gazal it’s for every one ab be do sher ka jawab sher main ye tu lazy ppl itnay dino baad a jatey :frowning:

so yahaan sher ka jawab sher se dena ho ga:(
kafe muskel hai na:bummer:

haan na it’'s not mushkil na dekhiey hum log be tu day rahya jesay ap idher udher likhti wesay yahan be :slight_smile:

Thank youuuuuuuuuuuuuuuuuu Chando jeee :slight_smile:

thank you ghazal kisi ke
yes of course you can join us :slight_smile:

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
thanks sher sahi karnay ka jahan parha tha wahan asiay h likha tha :(


ankhin pighal gaa'eyN isay magmoom dekh kar
dil apni be-basi ki nadamat main jal gaya
[/QUOTE]

You are welcome anytime :p

Jalaa hai jism jahaaN dil bhee jal gaya hoga
Kuraidatay ho jo ab raakh, justajoo kya hai ?

Jalaa hai jism jahaaN dil bhee jal gaya hoga
Kuraidatay ho jo ab raakh, justajoo kya hai ?

Wah

Aag thay eb'teday ishq main hum
Hogay ** Raakh** intehaa yeh hay !!!

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
Jalaa hai jism jahaaN dil bhee jal gaya hoga
Kuraidatay ho jo ab raakh, justajoo kya hai ?

Wah

Aag thay eb'teday ishq main hum
Hogay ** Raakh** intehaa yeh hay !!!
[/QUOTE]

HasarataiN raakh ho gayee lekin
Aag ab bhi kaheeN dabi seei hai

[QUOTE]
Originally posted by WiseGuy: *

HasarataiN raakh ho gayee lekin
Aag ab bhi kaheeN **dabi
* seei hai
[/QUOTE]

Zara mozo say hatt kar hay

Roz kehtay ho keh adaab abaad
Hum na daba to qayamat ho gii

:nono1:

Ye bijlee raakh kar jaayegi, teray pyaar kee duniyaa
Na phir tu, jee sakega aur, na tujhko maut aayegi

Chalain aap manna kartay ho to hum manna ho jatay hain :(

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
Chalain aap manna kartay ho to hum manna ho jatay hain :(
[/QUOTE]


Roya karaiNgay aap bhee pehroN isee tarah
ATkaa kaheeN jo aap kaa dil bhee meri tarah

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

You are welcome anytime :p

Jalaa hai jism jahaaN dil bhee jal gaya hoga
Kuraidatay ho jo ab raakh, justajoo kya hai ?

[/QUOTE]

dafnana dekh bhaal k hasrat zada ki laash ko
lipti huwi kafan maiN soo arrzo be hain

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

dafnana dekh bhaal k hasrat zada ki laash ko
lipti huwi kafan maiN soo arrzo be hain
[/QUOTE]

Ya arzoo behi bohat hai magar maray hamdam
Wasala e yaar faqat arzoo ke baat nahi

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *


Roya karaiNgay aap bhee pehroN isee tarah
ATkaa kaheeN jo aap kaa dil bhee meri tarah

[/QUOTE]

rafeeqooN se raqeeb achay jo jal k naam laitey haiN
guloN se khaar behter haiN jo daman thaam laitey haiN

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

rafeeqooN se raqeeb achay jo jal k naam laitey haiN
guloN se khaar behter haiN jo daman thaam laitey haiN
[/QUOTE]

Rafaqatain kabhi zanjeer e paa nahi hoteen
Na chal sakoo tu bechar jaoo dostoon ke taraha

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *

Ya arzoo behi bohat hai magar maray hamdam
Wasala e yaar faqat arzoo ke baat nahi
[/QUOTE]

wo prinda jisay parwaaz se fursat he na thei
aaj tanha hai tu dewaar pe a betha hai