![]()
Mujh ko apno nay mara
Gheroon main kahan dam tha
Meri kashti dubi wahan
Jithay panri kam tha
Sahee kaha Koyal jee aapnay ![]()
Chand jee, aap kaho tu yeh fareeza Koyal ki jagha hum sir anjaam dein, bohat din huay kisi ko daantay huay, shayed inko aakhri daant yaad ho abhi bhi… ![]()
Na ro meray Chaand, aap per rona bilkul nahee jagta…
Hamesha Musuraati raho, duniya keh kehnay say kuch nahee hota
Now
like a good friend… ![]()
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Chand jee, aap kaho tu yeh fareeza Koyal ki jagha hum sir anjaam dein, bohat din huay kisi ko daantay huay, shayed inko aakhri daant yaad ho abhi bhi.... ;)
[/QUOTE]
yar kya hua ?
lungi kion upar kartay ho
aur akhri dant :o
chalo utho jagtay hain achay bachay sapnay nahi daikhtay..
chi chi chi
very nice :k:
[QUOTE]
*Originally posted by chand_chehra: *
Toot jatay hain sabhi rishtay dil say dil ka rabta apni jagha
Dil main tujh ko na milnay ka yaqeen tujh ko palenay ki dua apni jagha
[/QUOTE]
taa'nkay na toot jaieN ye rakhna zara khy'aal
zakham jigar ko payar se tum ne see'ya tu hai
thanks ![]()
aray nahi nahi woh to i was jus kidding na ye tu mera pala sa dost
hai ![]()
momooooo ![]()
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
zakham jigar ko payar se tum ne see'ya tu hai
[/QUOTE]
Jis nay shayed na mujh say piyar kia
Mujh ko phir is nay beQarar kia
Woh jiger gosha hee hai mera
Jis nay eik teer dil kay paar kia
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Mujh ko phir is nay beQarar kia
Woh jiger gosha hee hai mera
Jis nay eik teer dil kay paar kia
[/QUOTE]
ye sakoot-e-yaas ye dil ki raghooN ka tootna
khamoshi maiN kuch shikast-e-saaz ki baat karo
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
khamoshi maiN kuch shikast-e-saaz ki baat karo
[/QUOTE]
Shaam-e-GHam kuch os nigah-e-naaz ki baataiN karo
Bekhudee baRhti chalee hay raaz kee baataiN karo
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Shaam-e-GHam kuch os nigah-e-naaz ki baataiN karo
Bekhudee baRhti chalee hay raaz kee baataiN karo
[/QUOTE]
Dil k sheeshaY main na likho raaZ ki bataiN
Ankh ki khirki khuli hai aakas bahaR aiey gha
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
Ankh ki khirki khuli hai aakas bahaR aiey gha
[/QUOTE]
Teray GHamoN say aik baRa faida hua
Hum nay samait lee dil-e-muztar maiN kaainat
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Teray GHamoN say aik baRa faida hua
Hum nay samait lee dil-e-muztar maiN kaainat
[/QUOTE]
gham ki baarish ne be teray naqash ko dhoo'ya nahi
tu ne mujhay khoo dya maiN ne tujhay khoa'ya nahi
:k:…
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
gham ki baarish ne be teray naqash ko dhoo'ya nahi
tu ne mujhay khoo dya maiN ne tujhay khoa'ya nahi
[/QUOTE]
Is darja shiddat bhee achi nahee hai jazboN maiN
Aksar tez baarishen bhee khetiaaN jalati haiN :p
thanks BS
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Is darja shiddat bhee achi nahee hai jazboN maiN
Aksar tez baarishen bhee khetiaaN jalati haiN :p
[/QUOTE]
barish se itni dosti acahi nahi faraz
kacha tera makan hai kuch tu khayal kar
[QUOTE]
Originally posted by Koyal: *
kacha tera makan hai kuch tu khayal kar
[/QUOTE]
Kacha tera makaan hai, kuch tou khayaal kar * ;) *
Mazaa barsaat ka chaaho tou meri Aankhon maiN aa baiTho
Woh barson maiN barsti hai, yeh barson say barasti haiN