Lol, we dont mind agar sher ka jawab geedaR bhi ho tu
![]()
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
janay keoN kareeb a kar khaar bun jatye haiN log
[/QUOTE]
Faslay aisay bhee hongay yeh kabhi socha na tha
Samnay baitha tha meray aur woh mera na tha
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Faslay aisay bhee hongay yeh kabhi socha na tha
Samnay baitha tha meray aur woh mera na tha
[/QUOTE]
samnay a k tuj ko hum ne pukara nahi
teri ruswaie hum ko gawara nahi
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
dil k shikasta saaz se nagmay ubal parey
pocha kisi ne haal tu ansoo niqal paray
[/QUOTE]
Ya dill ka roug ya chahat khuda kisi koo na day
Buri bala hai mohabat khuda kisi ko na day
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Faslay aisay bhee hongay yeh kabhi socha na tha
Samnay baitha tha meray aur woh mera na tha
[/QUOTE]
Maray pass say guzar kar mara hall tak na poocha
Main ya kasay man loon ka wo door jaa kar roya
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
samnay a k tuj ko hum ne pukara nahi
teri ruswaie hum ko gawara nahi
[/QUOTE]
Tum he na suniya na dukha apna
Wagar na vo dua datay ka arsha ko hila datay
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Ya dill ka roug ya chahat khuda kisi koo na day
Buri bala hai mohabat khuda kisi ko na day
[/QUOTE]
dil toot be jaiey tu mohabat nahi mit-tee
is rah maiN lut kar be khasara nahi hota
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
teri ruswaie hum ko gawara nahi
[/QUOTE]
Mujh say mut pouch, meray dil kee kahani o hum-dum
Is maiN kuch parda-nashinoN kay bhee naam aatay haiN
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
is rah maiN lut kar be khasara nahi hota
[/QUOTE]
magar is main tu khasara hee kahsara hai na, kitni cheezain khona parti hai, dil, sukoon, chain, :(
Manzil ko paanay kay liay saahil ko paar karna parta hai
Mohabbat karnay kay liay dil-o-jaan qurban karna parta hai
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Tum he na suniya na dukha apna
Wagar na vo dua datay ka arsha ko hila datay
[/QUOTE]
Hoti naheeN qubool duaa tark-e-ishq kee
Dil chahata na ho to duaa maiN asar kahaN
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
dil k shikasta saaz se nagmay ubal parey
pocha kisi ne haal tu ansoo niqal paray
[/QUOTE]
dil hii to hai na sa.ng-o-Khisht dard se bhar na aaye kyo.n
roye.nge ham hazaar baar ko_ii hame.n sataaye kyo.n
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Hoti naheeN qubool duaa tark-e-ishq kee
Dil chahata na ho to duaa maiN asar kahaN
[/QUOTE]
vo jaate hai.n aatii hai qayaamat kii sahar aaj
rotaa hai duaao.n se gale milake asar aaj
[QUOTE]
*Originally posted by chand_chehra: *
Ye na thi hamri qismat kay wisal-e-yaar hota
Gar aur zinda rahtay yehi intazaar hota
[/QUOTE]
vasl is kaa Khudaa nasiib kare
"Meer" jii chaahataa hai kyaa kyaa kuchh
[QUOTE]
*Originally posted by chand_chehra: *
jab kashti saabit-o-salim thi, saahil ki tamanna kiso thi
ab aisi shikasta kasti par sahil ki tamanna kaun kare
[/QUOTE]
achchhaa yaqii.n nahii.n hai to kashtii Dubo ke dekh
ek tuu hii naaKhudaa nahii.n zaalim, Khudaa bhii hai
:D
[QUOTE]
*Originally posted by chand_chehra: *
Hamay aye dostoo ab kashtioo main raat karni hai
Kay chup jatay hain sub sahil chirag-e-sham say pahlay
[/QUOTE]
badagumaa.N ho ke mil aaii dost jo milanaa hai tujhe
ye jhijhakte hue milanaa koi milanaa bhii nahii.n
Nice :k:
Toot gaye to kirchiooN ko sawa kya dain gay
Kanch kay pair khyalon main lagaya na karo
Gar bicharna para hum say to jio gay kasay
Dil ki gehraio say itna hame chaha na karo
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
magar is main tu khasara hee kahsara hai na, kitni cheezain khona parti hai, dil, sukoon, chain, :(
Manzil ko paanay kay liay saahil ko paar karna parta hai
Mohabbat karnay kay liay dil-o-jaan qurban karna parta hai
[/QUOTE]
ye sari umer kis ashuftaghi maiN raa'eghaN kar de
usi ko yaad rakha hia jisay dil se bhulaaNa thaa
wo jab oh'jhal huwa tu hum be apnay ap se choNkay
usay awaz daiNe thei usay wapis bulana tha
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Hoti naheeN qubool duaa tark-e-ishq kee
Dil chahata na ho to duaa maiN asar kahaN
[/QUOTE]
dua'eyN be sirf azz'eym ka sath daiti haiN
dawa'ey dard be dhoondho faqat dua na karo
[QUOTE]
*Originally posted by superglue: *
achchhaa yaqii.n nahii.n hai to kashtii Dubo ke dekh
ek tuu hii naaKhudaa nahii.n zaalim, Khudaa bhii hai
[/QUOTE]
ishara aaaur he kuch kaaar raha tha doobnay wala
magar yaa'raan-e-sahil tu salam akhri samjahay