kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *


Jab kashti beech bhanwar main the tu tum ko bachana yaad raha
Jab tum ko utara sahail par tu khud main utar na bhool giya
[/QUOTE]

Beautiful sher dilsay


bhool be ja'wo kis ne toraa kesay toraa keoN toraa
dhondh rahya ho kia galioN maiN dil k tukray barsoN baad

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *


Jab kashti beech bhanwar main thee tu tum ko bachana yaad raha
Jab tum ko utara sahail par tu khud main utar na bhool giya
[/QUOTE]

Hamay aye dostoo ab kashtioo main raat karni hai
Kay chup jatay hain sub sahil chirag-e-sham say pahlay

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

poochnay walay ne tu poocha lutf-o-karam ahsaan kia
lab pe aiey haraf-e-tamanna ishq k ye adaab nahiN
[/QUOTE]

Wasl-o-faraq dono hain ek jasay naguzeer
Kuch lutf uskay qarb main kuch faslay main thay ;)

:rolleyes: uriyaan haeen pagal thien kya :confused:

[QUOTE]
*Originally posted by chand_chehra: *

Hamay aye dostoo ab kashtioo main raat karni hai
Kay chup jatay hain sub sahil chirag-e-sham say pahlay
[/QUOTE]

ghay'er laitey haiN mujhay rastey teri yaadooN k
jab be karta hoon teray baad safar shaam k baad

faslooN k koi muafi he mohabat maiN nahiN
chand ko be-har k pahloo maiN machaltey dekha :wink: :blush:

Maloom nahee Pagal hain keh Pagleee :wink:

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Maloom nahee Pagal hain keh Pagleee ;)
[/QUOTE]

dono hain :p

Jab yeh chand sa chehra dekha tha pehli baar maiN nay
Kaash woh lamha woh waqt waheen ruk jaata
Yeh faslay yeh doorian yeh nit naee majboriaN
Ey kaash keh tu meri or maiN tera ho jata
:blush:

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *

Mujahay wafa ke umeed hai magar har ak say nahi
Koyee mailay magar us yara e bewafa ke taraha
[/QUOTE]

dhoondh ujray huwey logooN maiN wafaa k moti
ye khizanay tujhay mumkin hai khabooN maiN milaiN

hmmm wesay ye kis k leay tha :stuck_out_tongue:

aur hum agar yuun kahin

muR k dekha tu dararaieN theiN har chand se chahray per
ghor se na dekho tu har chahra haseeN dekhta hia :stuck_out_tongue:

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

dhoondh ujray huwey logooN maiN wafaa k moti
ye khizanay tujhay mumkin hai khabooN maiN milaiN
[/QUOTE]

Soona hai tootay saz khoob bajtay hain
Baray kholoos say dil ka rabab liya hoon

Aap ko nahee maloom kiskay liay tha :stuck_out_tongue:

Chaand bhi dekha
Phool bhi dekha
Baadal bijli titli jugnu
Koi nahin hai aisa
Tera husn hai jaisa
Tera husn hai jaisa

Meri nigaah ne ye kaisa khwaab dekha hai
Zameen pe chalta hua mahathab dekha hai
:blush:

[QUOTE]
*Originally posted by chand_chehra: *Wasl-o-faraq dono hain ek jasay naguzeer
Kuch lutf uskay qarb main kuch faslay main thay ;)
[/QUOTE]

Tum say milay mil kar bichaRay bichaR kay phir milay,
Aisee bhee qurbataiN raheeN aaisay bhee fasalay rahay

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *Soona hai tootay saz khoob bajtay hain
Baray kholoos say dil ka rabab liya hoon
[/QUOTE]

Yeh KHuloos koi KHuloos hai, diloN main rabt e baham nahee
TumhaiN aiteraaf e sitam nahee, mujhay aitebaar e karam nahee

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *

Soona hai tootay saz khoob bajtay hain
Baray kholoos say dil ka rabab liya hoon
[/QUOTE]

dil k shikasta saaz se nagmay ubal parey
pocha kisi ne haal tu ansoo niqal paray

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Yeh KHuloos koi KHuloos hai, diloN main rabt e baham nahee
TumhaiN aiteraaf e sitam nahee, mujhay aitebaar e karam nahee

[/QUOTE]


ye rishta-e-khaloos hai tootey gha kis tarha
roohoN ko cho sakay haiN bhla kab kisi k hath

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Tum say milay mil kar bichaRay bichaR kay phir milay,
Aisee bhee qurbataiN raheeN aaisay bhee fasalay rahay
[/QUOTE]

faasla ho tu nazar atey haiN phoolooN ki tarha
janay keoN kareeb a kar khaar bun jatye haiN log

Koyal: First post ke 2nd aur 2nd last ash’aar are just zabardast! :k:

thanks khanzada sahib and welcome here kuch ap be tu yahan irshad kijaiy na sher ka jawab sher main..:slight_smile: