Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

Alaikassalam, wr, wb.

g bilkul durust farmaya aap nay. asal mai'n musalmano'n ka bunyadi problem hi yeh hay keh inhai'n "childhood" mai'n hi mukammal deen ghar mai'n baithay baithay hi day dia jaata hay or sath hi yeh hadd bhi muqarrar kar di jati hay keh ab tum nay deen kay moaamlaat ko kisi say bhi discuss nahee'n karna. jo kuch tumhai'n day dia gaya woh "kafi" hay.

or phir hairat uss waqt or barh jaati hay jab "discuss say inkari" musalmano'n kay apnay eeman ki batai'n quran kay ahkamat say mukhtalif nikalti hai'n.

Lanat ka tazkirah Quran mai'n mojood hay.

Allah khud bhi lanat bhaijta hay iss baat ka bhi quran khud hi gawah hay.

Allah zalimo'n say baizar rehnay wali Firon ki bivi ko us ki iss baizari ki wajah say "ahl-e-eeman" mai'n shamil karta hay ya aisay keh lai'n keh "ahl-e-eeman" ki aik nishani jo quran hamai'n batata hay woh zalimo'n say baizari bhi hay or iss baat par bhi quran khud hi gawah bhi hay.

ab agar koi yeh kahay keh quran mai'n LANAT/BAIZARI/BARAAT ka tazkirah nahee'n hay to is ka kia elaj?

quran paak say hasil honay walay sawabo'n mai'n say sub say kam darjay ka sawab hay Quran paak ki tilawat karna or musalmano'n kay ulama nay unn ko sirf tilawat tak hi rakha hooa hay or yehee wajah hay keh bay charay musalman nahee'n jaantay keh quran mai'n kahaa'n kia likha hay.

*jab musalman tilawat say aagay barhai'n gay to unn ko Quran paak mai'n likha hooa milay ga keh *

jhooto'n par Allah ki lanat.

zalim qomo'n par Allah ki lanat.

or ham to yeh kahai'n gay keh jo lanat kay haqdaro'n ko lanat say mehroom rakhnay ki koshish karay uss par bhi Allah ki lanat ho bay shumar.

LANAT BAR ZALEMEEN, KAZEBEEN, MUNAFEQEEN, BAY SHUMAR.....