Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?
^^^^^
kia poori ahl-e-sunnat wal jamat kay paas fidvi ki paish kardah guzarishat (jin ko Quran ki taa'id bhi hasil hay) ka koi ilmi jawab hay?
ya sirf "hanibal" jaisay logo'n kay hi groh ka naam "ahl-e-sunnat wal jamat" hay jo kisi ko uss kay sawal ka jawab dainay ki to "ahlyat" hi na rakhtay ho'n magar kisi bhi jagah ghair muta'liqah sawalat kay jawabat kay liay pur josh or bazid rahai'n.
ahl-e-sunnah wal jamat ko agar kisi zalim, kazib ya munafiq par lanat bhaijnay say ikhtalaf ya inkar hay to woh fidvi kay paish kardah hawalah jaat ka koi ilmi ya mantaqi jawab day.
or agar jawab dainay ki bajaay ahl-e-sunnat wal jamat kay paas mehez ghair muta'liq bato'n par shor sharaba karna hi behtareen harbah hay to fil waqt ham shio'n kay paas aisay kisi harbay ka koi elaj nahee'n hay.
yes/no???